hai mere KHvaaja kii har ek adaa adaa-e-rasuul

Vajahat Husain Daem
MORE BYVajahat Husain Daem
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
hai mere KHvaaja kii har ek adaa adaa-e-rasuul
yahii hai.n aal nabii aur yahii ’ataa-e-rasuul
karuu.n mai.n kaise bayaa.n mid.hat ‘ataa-e-rasuul
labo.n se kaise adaa ho sake sanaa-e-rasuul
dayaar-e-KHvaaja pe miltaa hai faiz-e-panjatanii
dar-e-mu.ayyan pe haasil hai vo du.aa-e-rasuul
'ataa milii hai vo baadshaah miiyaa.n ko KHvaaja se
ki jaise KHvaaja ko kahte hai.n sab ‘ataa-e-rasuul
bha.nvar me.n kashtii-e-islaam kaise aa.egii
ki jis kaa KHvaaja ho mallaah aur tiraa-e-rasuul
'ataa mujhe bhii kaaro ’azm-o-’vajaahat KHvaaja
Gulaam aap ke dar kaa huu.n aur gadaa-e-rasuul

- Book : Nau-Ras (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.