huzuur hii ke karam se banii hai baat mirii

huzuur par ho fidaa saarii kaa.inaat mirii
unhii.n kii yaad me.n ro-ro ke din guzaaraa hai
unhii ke zikr se raushan hu.ii hai raat mirii
huzuur hii kaa tasavvur merii 'ibaadat hai
huzuur ke hii vasiile se hai najaat mirii
dar-e-habiib se hastii ko mil gayaa 'unvaa.n
vagarna kaun huu.n mai.n aur kyaa hai zaat mirii
nikal rahe hai.n jo yaad-e-rasuul me.n aa.nsuu
yahii duruud miraa hai yahii salaat mirii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.