uruus-e-hastii pe yak-baargii shabaab aayaa

vilaadat-e-shah-e-bat.haa se inqalaab aayaa
duruud-e-paak kii barakat se Gam hu.e kaafuur
masarrato.n kaa mere haath me.n gulaab aayaa
hamesha KHair kii lab par rahe du.aa jaarii
qadam na bhaTke zamaana ba.Daa KHaraab aayaa
jo naa-muraad gayaa mustafaa ke rauze par
vo baa-muraad hu.aa ho ke faizyaab aayaa
khilaane Gu.ncha-e-nau-KHez baaG-e-hastii kaa
huzuur aap ke lutf-o-karam kaa aab aayaa
sukuu.n-navaaz hu.ii yaad-e-servar-e-a.alam
duruun-e-qalb-e-jigar jab bhii iztiraab aayaa
nuquush-e-jahl-o-kHuraafaat miT ga.e yaksar
hiraa ke Gaar me.n jab ilm kaa nisaab aayaa
suKHan ke shahar me.n phailii hai raushnii 'vaasif'
us aab-o-taab se mid.hat kaa aaftaab aayaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.