nazar me.n taab ho to dekho taajdaar kaa ra.ng

ayaa.n hai taaj-e-fa-tarzaa se iftiKHaar kaa ra.ng
hu.ii hai dahr me.n durr-e-yatiim kii aamad
hai jo bano.n pe ajab sub.h-e-nau-bahaar kaa ra.ng
suruur miltaa hai aa.nkho.n ko diid se jis kii
vo dil-faroz hai taiba ke laala-zaar kaa ra.ng
hai jis kaa ra.ng yaqiinan mataaf-e-husn-o-amal
cha.Dhaa hai taKHtii-e-dil par isii mazaar kaa ra.ng
mashaam-e-dahr yuu.n mahkaa hai un kii aamad par
abhii bhii mushk me.n Duubaa hai somvaar kaa ra.ng
chhuTe.n hai.n jahl kii taariikiyaa.n zamaane se
hiraa se niklaa jo farmaan nuur-baar kaa ra.ng
manaa.o jashn bahaaraa.n yuu.n tumtaraaq ke saath
chahaar samt nazar aa.e shaandaar kaa ra.ng
tirii Gulaamii dilaa.egii hashr me.n jannat
ba.Daa hii puKHta hai mere us e'tibaar kaa ra.ng
vo bhiik dete hai.n saa.el ko soch se ziyaada
kabhii dikhaa na ataa.o.n pe iKHtisaar kaa ra.ng
huzuur muzhda-e-baKHshish ataa kare.nge jab
to khil uThegaa KHushii se gunaahgaar kaa ra.ng
hai.n jis ke aage nujuum-e-falak bhii sharminda
judaa hai sab se madiina tire Gubaar kaa ra.ng
sukuun chain masarrat kii hai faraavaanii
karam se un ke hu.aa mahv intishaar kaa ra.ng
libaas-e-aasuuda-e-sarkaar zeb-e-tan kar lo
tumhe.n cha.Dhaanaa ho tan par jo diin-daar kaa ra.ng
nisaar jis pe jamaal-e-bahisht hai vallaah
vo hai madiine ke us gu.nbad-o-manaar kaa ra.ng
nigaah-e-naaz se aisaa piyaa hai jaam-e-vilaa
ki nikhraa nikhraa saa rahtaa hai baada-KHvaar kaa ra.ng
firaaq-e-taiba me.n kuchh aisii ho ga.ii haalat
ke u.D rahaa hai sadaa chashm ashk baar kaa ra.ng
mirii bhii chashm-e-tamannaa kii kaash ho me.araaj
buland baKHtii se dekhuu.n mai.n kuu.e yaar kaa ra.ng
kabhii na ra.ng cha.Dhe zillat aur KHaarii kaa
hamesha shoKH rahe tere naan KHaar kaa ra.ng
ba.De ba.Do.n ko vo rakhtaa hai apne qadmo.n me.n
tire bhikaarii me.n dikhtaa hai saahuu-kaar kaa ra.ng
nabii kii aal kaa faizaan ho sadaa ham par
qabaa-e-ziist pe chhaa-e-jab ikHtibaar kaa ra.ng
kamaal-e-sidaq-e-adaalat shujaa.at aur hayaa
unhii.n se nikhraa hai laaraib chaar yaar kaa ra.ng
ye sinf-e-na.at kii barakat hai 'vaasif' be-daam
nazar jo aataa hai har suu tire vaqaar kaa ra.ng

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.