Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

yaa-nabii nuur ho tum jalva-e-yazdan kii qasam

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    yaa-nabii nuur ho tum jalva-e-yazdan kii qasam

    jaise tum ho nahii.n aisaa ko.ii iimaa.n kii qasam

    martaba haq se kisii aur ko aisaa na milaa

    taaj-e-KHusrau kii qasam taKHt-e-sulaimaa.n kii qasam

    dono.n 'aalam me.n nahii.n ko.ii bhii tum jaisaa hasii.n

    maah-e-taabaa.n kii qasam mehr-e-daraKHshaa.n kii qasam

    yaa mohammad terii suurat hai KHudaa kii suurat

    diin-o-iimaa.n kii qasam aayat-e-qur.aa.n kii qasam

    jis ne dekhaa merii sarkaar ko diivaana hu.aa

    husn-e-yuusuf kii qasam jalva-e-jaanaa.n kii qasam

    aasmaano.n se bhii afzal hai madiine kii zamii.n

    'arsh-e-barii.n kii qasam jannat-e-rizvaa.n kii qasam

    log bante hai.n valii un kii Gulaamii se 'fanaa'

    Gaus-e-aa'zam kii qasam hind ke sultaa.n kii qasam

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now