yaa-vaaris
Interesting Fact
(جلوہ گاہ۔ لکھنؤ)
KHazaane me.n tumhaare kyaa nahii.n maujuud yaa vaaris
mirii mushkil bhii hal kar do mire mushkil-kushaa vaaris
KHudaa ke vaaste bhar do mirii ummiid kaa daaman
yahii merii tamannaa hai yahii hai iltijaa vaaris
hazaaro.n hasrate.n le kar tumhaare dar pe aayaa huu.n
inhe.n puuraa kaaro varna yahii.n miT jaa.uu.ngaa vaaris
use kyaa KHauf isyaa.n kaa use kyaa Dar qayaamat kaa
kahaa hai umr-bhar jis ne zabaa.n se apnii yaa-vaaris
'aziiz-e-vaarsii' ko aap bhii to jaante ho.nge
jo kahtaa hai miraa maulaa miraa aaqaa miraa vaaris

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 161)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
- Book : Safeena-o-Sahil (Pg. 171)
- Author : Aziz Warsi
- Publication : Shan-e-Hind, Delhi (1962)
- Edition : 2nd Edition
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.