yahii vaziifa hai aashiqo.n kaa ye ham faqiiro.n kii bhii sadaa hai

Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
Interesting Fact
منقبت در شان محبوب جل و علا حضرت سیدنا امیر ابوالعلا (آگرہ۔ہندوستان)
yahii vaziifa hai aashiqo.n kaa ye ham faqiiro.n kii bhii sadaa hai
girah-kushaa-e-do-a.alam 'akbar' hamaaraa pyaaraa abulula hai
bahaar ke din hai.n baarishe.n hai.n sahaab-e-rahmat baras rahaa hai
maze me.n hai ri.nd KHush hai saaqii ki mai-kada sab bharaa puuraa hai
lagii hai aisii lagan kisii se ki marne par bhii na chhuT sakegii
ye aashiqii dil lagii nahii.n hai jo ham miTe hai.n to dil lagaa hai
kisii ke jalve kii aarzuu hai kisii ke milne kii hai tamannaa
ba.De maze kii ye aarzuu hai kamaal-e-dil-kash ye mudda.aa hai
hame.n kaaro qatl shauq se tum dikhaa.o tiir-e-afagnii ke jauhar
jo KHvaahish ai jaan aap kii hai vahii hamaaraa bhii mudda.aa hai
hamaaraa qaasid hamaaraa dil hai banaa.e.nge naama-bar usii ko
havaa-e-shauq us ko le u.Degii yahii kabuutar yahii sabaa hai
tirii nigaaho.n ke tiir dil me.n tasalliyo.n kaa sabab hu.e hai.n
tiraa sitam shaan-e-dilbarii hai terii jafaa sar-ba-sar vafaa hai
nahii.n hai ko.ii shariik teraa tuu hii hai yaktaa tuu hii yagaana
yahii sabaq shaiKH ne pa.Dhaayaa KHudaa to bas ek hii KHudaa hai
hai vo bhii ek vaqt aane vaalaa khilegaa jis din sabho.n kaa parda
kahe.nge us rose ham buto.n se ki ab bhii tum me.n ko.ii KHudaa hai
hamaare dil ne kashish dikhaa.ii vahii kashish tumhe.n khii.nch laa.ii
karuu.n kidhar kii taraf mai.n sajda ki aaj uj.Daa makaa.n basaa hai
barastii hai.n nannhii nannhii buu.nde.n zamiin tar hai havaa hai ThanDii
chaman hai shaadaab baaG ra.ngii.n tamaam sahraa haraa-bharaa hai
mazaa hai kyaa aisii zindagii kaa ki vo kahii.n aur ham kahii.n hai.n
uThaa.e.n kab tak ye baar-e-furqat hamaaraa jiine se dam KHafaa hai
faqiir aa.e ki shaah aa.e ko.ii ho zaahid ho yaa subuu-kash
hai baab-e-tauba ye aastaana jahaan bhar ke liye khulaa hai
yahii taraana sunaa chaman me.n yahii sadaa aa.ii ja.ngalo.n se
yahii hai.n ham rindo.n ke bhii na.are KHudaa kaa pyaaraa abulula hai
abulolai hai apnaa mashrab yahii hai 'akbar' hamaaraa maz.hab
azal ke din se hamaare dil par likhaa hu.aa naam abulula hai

- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 139)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.