nabii aap par se fidaa jaan-o-maal
nabii aap par se fidaa jaan-o-maal
ye ghar baar saaraa ye ahl-o-’ayaal
rasiilii vo aa.nkhe.n vo zulf-e-siyaah
vo nuuraanii chehra vo husn-o-jamaal
vo abruu KHamiida jabiin-e-buland
fidaa jin pe hote the badr-o-hilaal
kabhii muskuraa kar idhar dekh lo
ki qismat kaa khul jaa.e sab mere jaal
mujhe ko.ii pahu.nchaa de sarkaar tak
du'aa degaa us ko miraa baal baal
kahaa.n se kahaa.n 'ishq pahu.nchaa gayaa
kahaa.n the uvais aur salmaa.n bilaal
bas ab zuhd-o-taqve ko rahne bhii do
maro 'ishq-e-hazrat me.n ye hai kamaal
na aaraam shab ko na din ko qaraar
hu.aa hijr me.n ab to jiinaa muhaal
mai.n qadmo.n se huu.n duur sarkaar ke
mujhe sab se ba.Dh kar yahii hai malaal
qiyaamat me.n 'haaziq' ko bhuule.n na aap
rahe is gunahgaar kaa bhii KHayaal
nabii aap par se fidaa jaan-o-maal
ye ghar baar saaraa ye ahl-o-’ayaal
rasiilii vo aa.nkhe.n vo zulf-e-siyaah
vo nuuraanii chehra vo husn-o-jamaal
vo abruu KHamiida jabiin-e-buland
fidaa jin pe hote the badr-o-hilaal
kabhii muskuraa kar idhar dekh lo
ki qismat kaa khul jaa.e sab mere jaal
mujhe ko.ii pahu.nchaa de sarkaar tak
du'aa degaa us ko miraa baal baal
kahaa.n se kahaa.n 'ishq pahu.nchaa gayaa
kahaa.n the uvais aur salmaa.n bilaal
bas ab zuhd-o-taqve ko rahne bhii do
maro 'ishq-e-hazrat me.n ye hai kamaal
na aaraam shab ko na din ko qaraar
hu.aa hijr me.n ab to jiinaa muhaal
mai.n qadmo.n se huu.n duur sarkaar ke
mujhe sab se ba.Dh kar yahii hai malaal
qiyaamat me.n 'haaziq' ko bhuule.n na aap
rahe is gunahgaar kaa bhii KHayaal
- Book : Anwaar-e-Ghaib (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.