shaah-e-navaab kaa darbaar hai raushan itnaa
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت نواب علی شاہ حسنی جہاں گیری (فتح پور۔اترا پردیش)
shaah-e-navaab kaa darbaar hai raushan itnaa
ho nahii.n saktaa hai raushan ko.ii darpan itnaa
dekh kar ghar shah-e-navvaab kaa jannat bolii
KHuubsuurat na milegaa ko.ii maskan itnaa
is me.n bastaa hai yaqiinan mere shabbiir kaa chaa.nd
varna hotaa nahii.n raushan ko.ii madfan itnaa
maah-o-anjum kii yahaa.n bazm sajaa kartii hai
vus.ate.n rakhtaa nahii.n ko.ii bhii aa.ngan itnaa
shukriya ai shah-e-navaab kii pur-nuur galii
mutma.in thaa na kabhii pahle miraa man itnaa
shaah-e-navaab kaa daaman hai sameTe sab ko
mehrbaa.n dekhaa nahii.n duusraa daaman itnaa
shaah-e-navaab kare.n jitnaa muriido.n pe karam
khul ke barsaa nahii.n hogaa kabhii saavan itnaa
hoke mansuub tire dar se chamak uThaa hai
qaabil-e-qadr na thaa pahle miraa fan itnaa
chho.Dkar aanaa pa.Daa us ko vahii.n par 'yaavar'
dil ko bhaayaa shah-e-navaab kaa gulshan itnaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.