ye aaftaab hai garm us kii kibriyaa.ii kaa

ki zarra-zarra hai aa.iina KHud-numaa.ii kaa
pukaartaa hai ye andaaz-o-naaz-e-tauba-shikan
ki aa.e vo jise da.avaa ho paarsaa.ii kaa
faqiir us kii galii kaa huu.n mai.n ajab kyaa hai
jo taaj-e-shaah ho kaasa mirii gadaa.ii kaa
hayaa to ye hai ki sattar hazaar pardo.n me.n
magar hai shauq use a.alam-aashnaa.ii kaa
bashar se hamd-e-ilaahii 'amiir' kyaa mumkin
pahaa.D uThaa.e kahaa.n hausla ye raa.ii kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.