allaah re ye martaba-o-shaan-e-mohammad
allaah re ye martaba-o-shaan-e-mohammad
hai.n arz-o-samaa taabe'-e-farmaan-e-mohammad
hairaan hai.n us dil kii tajallii se do-'aalam
jis dil me.n hai 'aks-e-ruKH-e-taabaan-e-mohammad
har gosha-e-'aalam pe hai sarkaar kii rahmat
harsuu hai ravaa.n chashma-e-faizaan-e-mohammad
miltii hai usii ko mai-e-'irfaan-e-KHudaa bhii
jo nosh kare baada-e-'irfaan-e-mohammad
shaaho.n ko bhii vo auj 'zafar' mil nahii.n saktaa
jis auj ke maalik hai.n Gulaamaan-e-mohammad

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.