Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

vo sham.a ujaalaa jis ne kiyaa chaaliis baras tak Gaaro.n me.n

Zafar Ali Khan

MORE BYZafar Ali Khan

    vo sham.a ujaalaa jis ne kiyaa chaaliis baras tak Gaaro.n me.n

    ik roz jhalakne vaalii thii sab duniyaa ke darbaaro.n me.n

    rahmat kii ghaTaa.e.n phail ga.ii.n aflaak ke gumbad-gumbad par

    vahdat kii tajallii kau.nd ga.ii aafaaq ke senaa-zaaro.n me.n

    gar arz-o-samaa kii mahfil me.n lau-laak-lammaa kaa shor na ho

    ye ra.ng na ho.n gulzaaro.n me.n ye nuur na ho sayyaaro.n me.n

    vo jins nahii.n iimaan jise le aa.e.n dukaan-e-falsafa se

    Dhuu.nDe se mile gii 'aaqil ko ye qur.aa.n ke siipaaro.n me.n

    jo falsafiyo.n se khul na sakaa aur nukta-varvo.n se hal na hu.aa

    vo raaz ik kamlii vaale ne batlaa diyaa chand ishaaro.n me.n

    jis mai-kade kii ek buu.nd se bhii lab kaj-kulho.n ke tar na hue

    hai.n aaj bhii ham be-maaya gadaa is mai-kade ke sarshaaro.n me.n

    ham haq ke ’alam-bardaaro.n kaa hai ab bhii niraalaa ThaaT vahii

    baadal kii garaj takbiiro.n me.n bijlii kii ta.Dap talvaaro.n me.n

    hai.n kirne.n ik hii mash.al kii abuu-bakr-o-'omer 'usmaan 'alii

    ham-martaba hai.n yaaraan-e-nabii kuchh farq nahii. in chaaro.n me.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now