raunaq-e-subh-o-shaam tujh se hai
raunaq-e-subh-o-shaam tujh se hai
zindagii shaad-kaam tujh se hai
tujh se qindiil kun fakaa.n raushan
ya.anii saaraa nizaam tujh se hai
tuu libaas-e-bashar me.n nuur-e-KHudaa
raushnii haq kii aam tujh se hai
terii ik ik adaa me.n hai e'jaazii
is me.n kis ko kalaam tujh se hai
tujh se baaqii jahaa.n me.n meraa vajuud
aur a.alaa maqaam tujh se hai
mujh ko duniyaa se kyaa Garaz ko.ii
mujh ko jo bhii hai kaam tujh se hai
ranj-o-Gam se mujhe rihaa karnaa
arz kHairul-anaam tujh se hai
teraa mamnuun kyuu.n rahe na 'zafar'
faiz haasil mudaam tujh se hai
raunaq-e-subh-o-shaam tujh se hai
zindagii shaad-kaam tujh se hai
tujh se qindiil kun fakaa.n raushan
ya.anii saaraa nizaam tujh se hai
tuu libaas-e-bashar me.n nuur-e-KHudaa
raushnii haq kii aam tujh se hai
terii ik ik adaa me.n hai e'jaazii
is me.n kis ko kalaam tujh se hai
tujh se baaqii jahaa.n me.n meraa vajuud
aur a.alaa maqaam tujh se hai
mujh ko duniyaa se kyaa Garaz ko.ii
mujh ko jo bhii hai kaam tujh se hai
ranj-o-Gam se mujhe rihaa karnaa
arz kHairul-anaam tujh se hai
teraa mamnuun kyuu.n rahe na 'zafar'
faiz haasil mudaam tujh se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.