kyuu.n na ho har-samt shahar kHvaaja-e-ajmer kaa

Zafar Ansari Zafar
MORE BYZafar Ansari Zafar
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر۔راجستھان)
kyuu.n na ho har-samt shahar kHvaaja-e-ajmer kaa
hind ke dil par hai qabza kHvaaja-e-ajmer kaa
kyaa miTaa paa.egaa ko.ii aap kaa naam-o-nishaa.n
hai yahaa.n kaa bachha-bachha kHvaaja-e-ajmer kaa
ruuh ko miltii hai taskii.n aap hii ke naam se
kyuu.n na ho lab par vaziifa kHvaaja-e-ajmer kaa
ahl-e-dil ke vaaste hai qaabil-e-bosa vo aa.nkh
jis ne dekhaa ruu-e-zebaa kHvaaja-e-ajmer kaa
aaj bhii is dar se hotaa hai zamaana faiz-yaab
aaj bhii baTtaa hai sadqa kHvaaja-e-ajmer kaa
khil uThii.n kitnii hii ummiido.n kii kaliyaa.n har taraf
jab ho adnaa saa ishaara kHvaaja-e-ajmer kaa
hogii puurii har muraad us kii ba-fazl-e-kirdgaar
jo bhii hogaa naam levaa kHvaaja-e-ajmer kaa
kasrat-e-zuhd-o-riyaazat kaa ye jalva dekhiye
nuur me.n Duubaa hai roza-e-kHvaaja-e-ajmer kaa
manqabat jo likh rahaa hai aaj ye adnaa 'zafar'
ye bhii hai ko.ii karishma kHvaaja-e-ajmer kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.