paika-e-kHalq-o-mohabbat hai.n shah-e-teG-e-alii

Zafar Ansari Zafar
MORE BYZafar Ansari Zafar
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت تیغ علی (مظفرپور۔بہار)
paika-e-kHalq-o-mohabbat hai.n shah-e-teG-e-alii
saahab-e-kirdaar-o-siirat hai.n shaah-e-teG-e-alii
naaz-bardaar-e-sharii.at hai.n shah-e-teG-e-alii
naashir-e-nuur-e-hidaayat hai.n shah-e-teG-e-alii
un ke chehre se ayaa.n hai nuur-e-sham.a ma.arifat
rahbar-e-raah-e-tariiqat hai.n shah-e-teG-e-alii
haamil-e-ilm-e-ladunnii un kii zaat-e-paak hai
vaaqif-e-sirr-e-haqiiqat hai.n shah-e-teG-e-alii
ik jahaa.n ko aap kii diida-darii par naaz hai
aap vo ahl-e-basiirat hai.n shah-e-teG-e-alii
aap kii aa.nkho.n me.n pinhaa.n kyuu.n na ho nuur-e-KHudaa
shaamil-e-bazm-e-vilaayat hai.n shah-e-teG-e-alii
mere dil kaa ho vaziifa kyuu.n na un kaa naam-e-paak
mere armaano.n kii jannat hai.n shah-e-teG-e-alii
ai zafar un kii karaamat kyaa kare ko.ii bayaa.n
sar se paa tak ik karaamat hai.n shah-e-teG-e-alii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.