hasanii husainii kis kaa shajra sadaruddiin buKHaarii kaa

Zafar Lakhanpuri
MORE BYZafar Lakhanpuri
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت صدرالدین سہروردی راجن قتال (اوچ-بہاول پور)
hasanii husainii kis kaa shajra sadaruddiin buKHaarii kaa
roz-e-mahshar kis kaa jalva sadaruddiin buKHaarii kaa
aap ne aisaa darja paayaa apne piir kii nisbat se
shaidaa hu.aa hai saaraa zamaana sadaruddiin buKHaarii kaa
’azm-o-’amal se aap ne aisaa diin kaa parcham lahraayaa
dekh rahii hai duniyaa rutba sadaruddiin buKHaarii kaa
KHvaaja qutb abdaal yahaa.n par saare qalandar aa.e hai.n
jhuum rahe hai.n dekh ke chehra sadaruddiin buKHaarii kaa
aaj baTegaa mahfil me.n lauTne vaalo aa jaa.o
kis kaa sadqa aaj milegaa sadaruddiin buKHaarii kaa
ho un ke diidaar ke taalib rabbaanii tum ban jaa.o
un kii suurat me.n hai jalva sadaruddiin buKHaarii kaa
bhii.D lagii hai un ke dar par tum bhii 'zafar' phailaa.o haath
lauTaa nahii.n hai KHaalii maa.ngtaa sadaruddiin buKHaarii kaa

- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 361)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.