Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tumhii.n ko dekhtaa hai dekhne vaalaa haqiiqat kaa

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    tumhii.n ko dekhtaa hai dekhne vaalaa haqiiqat kaa

    tumhii.n ko paa rahaa hai paane vaalaa husn-e-qudrat kaa

    kahaa.n fitrat ke daaman me.n samaataa husn fitrat kaa

    bhale ko mil gayaa aa.iina terii husn-e-siirat kaa

    milaa tujh se hii husn-e-Gaib ko manzar shahaadat kaa

    tirii qaamat se duniyaa ko yaqii.n aayaa qiyaamat kaa

    haqiiqat me.n yahaa.n har shai mohammad hii mohammad hai

    mohammad hii haqiiqii raaz hai kasrat me.n vahdat kaa

    mohammad naqsh-e-avval hai mohammad naqsh-e-aakHir hai

    mohammad hii mohammad mashGala hai kilk-e-qudrat kaa

    mohammad se har ik shai me.n hu.aa mafhuum-e-shai paidaa

    hidaayat me.n hidaayat kaa nihaayat me.n nihaayat kaa

    bahaar-e-ra.ng-o-buu se jholiyaa.n bhar dii.n zamaane kii

    tumhaaraa phuul saa chehra chaman-aaraa hai fitrat kaa

    tiraa Gam-Khvaar-e-kHalq-e-kHudaa me.n muztarib rahnaa

    zamaane ke liye paiGaam hai taskiin-o-raahat kaa

    kisii ko bhii mohabbat ho kisii se bhii mohabbat ho

    ‘zahiin’-e-yuusufii markaz hai vo husn-o-mohabbat kaa

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now