allaah nazar aayaa ’irfaan kii aa.nkho.n se

dekhaa jo mohammad ko iimaan kii aa.nkho.n se
jo ’ain-e-haqiiqat hai sar taa-ba-qadam haq hai
insaan nazar aayaa insaan kii aa.nkho.n se
ruKH par bashariyyat kaa Daale vo naqaab aa.e
allaah ko chhupnaa thaa naadaan kii aa.nkho.n se
ye suurat-e-aadam hii allaah kii suurat hai
poshiida hai ye suurat shaitaan kii aa.nkho.n se
ye jaan.ne vaalo.n se be-parda mulaaqaate.n
parda hai to parda hai anjaan kii aa.nkho.n se
vo ruuh-e-ravaa.n ho kar vo jaan-e-jahaa.n ho kar
kahte hai.n hame.n dekho tum jaan kii aa.nkho.n se
har aan na.ii aane.n har aan na.ii shaane.n
is aan kii aa.nkho.n se is shaan kii aa.nkho.n se
insaa.n jise kahte hai.n vo aa.nkh kii putlii hai
haq shaahid-e-bar-haq hai insaan kii aa.nkho.n se
vahdat mutajallii hai is 'aalam-e-kasrat me.n
vaajib hai tamaashaa.ii imkaan kii aa.nkho.n se
momin vo 'zahiin' apne mohsin vo zahiin apne
iimaan kii aa.nkho.n me.n ehsaan kii aa.nkho.n se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.