vo sartaaj-e-rusul aa.e risaalat ho to aisii ho

vo bkHshaa.eng kul ummat shafaa'at ho to aisii ho
hai.n siddiiq-o-umar 'usmaan-o-'alii sab chaar yaaro.n me.n
vo the sab jaa.n-nisaaro.n me.n KHilaafat ho to aisii ho
haliima saa'diya kii god kis darja mubaarak thii
nabii khele the god me.n razaa'at ho to aisii ho
bilaal-e-habshii jis dam azaa.n dete the masjid me.n
rasuul-allaah pukaar uThte qiraat ho to aisii ho
hiraa ke Gaar me.n siddiiq the saathii mohammad ke
nabii ke ghar 'alii so.e shujaa.at ho to aisii ho
qatiil-e-KHanjar-e-a.adaa hu.e hai.n yuu.n to laakho.n hii
hu.ii thii karbalaa me.n jo shahaadat ho to aisii ho
shahiido.n ne namaaze.n kii.n adaa maqtal me.n sar rakh kar
'alii ke laal ne kii jo imaamat ho to aisii ho
sitam aur zulm sahte hai.n na uf mu.nh se karte hai.n
jo haq par jaan de Daale jamaa.at ho to aisii ho
'nizaamii' tire sajde ke liye mahbuub kaa dar bas hai
na uTThe sar qiyaamat tak qiyaamat ho to aisii ho

- Book : Kalam-e-Nizami (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.