Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

zuhuur-e-haq hai iz.haar-e-mohammad

Ibrahim Aajiz

zuhuur-e-haq hai iz.haar-e-mohammad

Ibrahim Aajiz

MORE BYIbrahim Aajiz

    zuhuur-e-haq hai iz.haar-e-mohammad

    KHudaa kii diid diidaar-e-mohammad

    gul-e-tar hai.n jo ruKHsaar-e-mohammad

    hai nargis chashm-e-biimaar-e-mohammad

    lab-e-iisaa ko nisbat kuchh nahii.n hai

    vo hai.n la.al-e-guhar-baar-e-mohammad

    hu.aa hai baal se laaGar ziyaada

    asiir-e-zulf-e-KHamdaar-e-mohammad

    hai mehraab-e-ibaadat aashiqo.n ko

    zahe abruu-e-KHamdaar-e-mohammad

    bichhaa dete the par apne adab se

    farishte vaqt-e-raftaar-e-mohammad

    abuu-bakr-o-umar usmaan-o-haidar

    hai.n yaaraan-e-vafaadaar-e-mohammad

    mohammad vaaqif-e-asraar-e-haq hai.n

    KHudaa aagaah-e-asraar-e-mohammad

    hazaaro.n rashk-e-yuusuf jal bujhe.nge

    ye hai garmii-e-baazaar-e-mohammad

    gul-e-firdaus aa.nkho.n me.n kab aa.e

    dil apnaa hai talabgaar-e-mohammad

    habiib-e-haq shafii-e-roz-e-mahshar

    shafaa.at hai sazaa-vaar-e-mohammad

    kahaa.n mumkin ki nii.nd aa.nkho.n me.n aa.e

    jise hai shauq-e-diidaar-e-mohammad

    ilaahii baKHsh 'aajiz' kii KHataa.e.n

    baraa.e aal-e-athaar-e-mohammad

    zuhuur-e-haq hai iz.haar-e-mohammad

    KHudaa kii diid diidaar-e-mohammad

    gul-e-tar hai.n jo ruKHsaar-e-mohammad

    hai nargis chashm-e-biimaar-e-mohammad

    lab-e-iisaa ko nisbat kuchh nahii.n hai

    vo hai.n la.al-e-guhar-baar-e-mohammad

    hu.aa hai baal se laaGar ziyaada

    asiir-e-zulf-e-KHamdaar-e-mohammad

    hai mehraab-e-ibaadat aashiqo.n ko

    zahe abruu-e-KHamdaar-e-mohammad

    bichhaa dete the par apne adab se

    farishte vaqt-e-raftaar-e-mohammad

    abuu-bakr-o-umar usmaan-o-haidar

    hai.n yaaraan-e-vafaadaar-e-mohammad

    mohammad vaaqif-e-asraar-e-haq hai.n

    KHudaa aagaah-e-asraar-e-mohammad

    hazaaro.n rashk-e-yuusuf jal bujhe.nge

    ye hai garmii-e-baazaar-e-mohammad

    gul-e-firdaus aa.nkho.n me.n kab aa.e

    dil apnaa hai talabgaar-e-mohammad

    habiib-e-haq shafii-e-roz-e-mahshar

    shafaa.at hai sazaa-vaar-e-mohammad

    kahaa.n mumkin ki nii.nd aa.nkho.n me.n aa.e

    jise hai shauq-e-diidaar-e-mohammad

    ilaahii baKHsh 'aajiz' kii KHataa.e.n

    baraa.e aal-e-athaar-e-mohammad

    Source :
    • Book : Diwan-e-Ajiz Musamma Ba Faiz-e-Ruh-ul-Qudus (Pg. 53)
    • Author : Ibrahim Ajiz
    • Publication : Nami Press, Lucknow (1953)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now