ye ulfat kii gha.Dii shaadii kaa ye jalsa mubaarak ho

Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
ye ulfat kii gha.Dii shaadii kaa ye jalsa mubaarak ho
mubaarak ho tumhe.n duulhaa-miyaa.n sehraa mubaarak ho
mubaarak duulhaa vaalo.n ko taraana shaadmaanii kaa
dulhan vaalo.n ko bhii ulfat kaa ye tohfa mubaarak ho
bandhaa sehraa to dil se ye du’aa.e.n dii.n ’aziizo.n ne
ki duulhaa aur dulhan ko pyaar kaa rishta mubaarak ho
bahut KHush hai.n yahaa.n sab ahl-e-mahfil dost aur bhaa.ii
sabhii ko ye mubaarakbaad kaa naGma mubaarak ho
rahe.n hai.n aur shaadmaa.n hamesha duulhaa aur dulhan
milaayaa hai KHudaa ne kyaa hasii.n jo.Daa mubaarak ho
jo duulhaa ko mubaarak ho ye shaadii KHaana-aabaadii
to 'anvar' rishte-daaro.n ko nayaa rishta mubaarak ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.