ek zamaana thaa ki hijr-e-yaar me.n siina-figaar

Agha Muhammad Daud
MORE BYAgha Muhammad Daud
ek zamaana thaa ki hijr-e-yaar me.n siina-figaar
justujuu me.n us kii phirtaa thaa ba-har shahr-o-dayaar
ab vo din aa.e ki paare kii tarah lail-o-nahaar
yaar-e-maa.ii maa namii-giirad qaraarash be-qaraar
taalib-e-diidaar gashta ham-chu muusaa baar-baar
tars-e-dozaKH hai na hai kuchh kHvaahish-e-KHuld-e-barii.n
huu.n mubarraa kuchh nahii.n khaTkaa mujhe az kufr-o-dii.n
mast huu.n pii kar sharaab-e-shauq ko ai shaiKH-e-dii.n
KHaar-e-Gam az nanag-o-naamuus-o-ze-miizaa.n ham-nashii.n
shahr-e-yaaram baa-kase aslaa na-daaram hech-kaar
dair-o-ka.aba me.n bhaTakte hai.n ye shaiKH-o-barhaman
baa.az phirte hai.n bayaabaano.n me.n misal-e-kohkan
huu.n mai.n sab ashyaa-e-maujuuda me.n yaa.n partav-fagan
niist ’ilm-e-ma.arifat jinn-o-bashar raa zaat-e-man
har do-'aalam ’aks-e-ruuyam chuu.n na-baashad aashkaar
jab ta.alluq kaa uThaa parda to phir sab nek-o-bad
ek aataa hai nazar kyaa dost kyaa ahl-e-hasad
vaa.izaa ye aap kii naa-haq hai mujh se radd-o-kad
jaa.n deham taa-jaan KHvaahad man na-daanam Gair-e-KHud
gosh-daaram az kalaam-e-kunto-kanzan yaadgaar
gar pa.Daa huu.n bahr-e-vahdat me.n jo honaa ho so ho
ab to har zarre me.n dekhuu.n huu.n jamaal-e-yaar ko
‘mahv’ apnii zaat me.n ye lutf hai ai dosto
bar nidaayat hairat-andar hairat-afzaayad 'sahv'
az dar-o-diivaar goyad KHveshtan raa yaad-daar

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.