Font by Mehr Nastaliq Web

nuur se apne kiyaa haq ne tujhe jalva-numaa

Aish Dehlvi

MORE BYAish Dehlvi

    nuur se apne kiyaa haq ne tujhe jalva-numaa

    aatish-o-aab-o-gul-o-baad kaa vaa.n daKHl hai kyaa

    ho.n jahaa.n apne dil-o-jaa.n se malaa.ik shaidaa

    nisbate niist ba-zaat-e-tuu banii aadam raa

    bartar az 'aalam-o-aadam tu che 'aalii nasabii

    tujh ko pahu.nche na masiihaa na kaliim aur na ibn-e-zartusht

    is kii dete hai.n shahaadat falak-o-koh-o-dasht

    paasbaano.n kii tarah charKH thaa sargarm-e-gasht

    shab-e-me'raaj-e-'uruuj tu za-aflaak guzasht

    ba-maqaame ki rasiidii na rasad hech nabii

    sarvaraa tuu hai shafii'-e-umam-o-nek-sifaat

    hai jahaa.n ke liye par faiz-o-karam terii zaat

    ham hai.n muhtaaj nihaayat ko hai.n pahu.nchii haajaat

    maa hama tishna-labaanem-o-tu.ii aab-e-hayaat

    lutf farmaa ki za-had mii-guzrad tishna-labii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now