mirii jaan-e-pur-Gam fidaa-e-mohammad
mirii jaan-e-pur-Gam fidaa-e-mohammad
mirii aa.nkh mahv-e-liqaa-e-mohammad
zamii.n aasmaa.n hai.n baraa-e-mohammad
jo ’arsh-e-mu'allaa hai jaa-e-mohammad
miraa dil bhii hai KHaak-paa-e-mohammad
’ajab shaan-e-qudrat ’ajab hai.n karishme
ko.ii un ko dekhe to kis tarh dekhe
hu.e jam' yakjaa the do nuur aise
nazar aa.e un me.n jo apne hii jalve
to KHaaliq ko bhaa.ii adaa-e-mohammad
dil-e-be-navaa hai jahaan-e-mohammad
hai mahbuub bhii kaun faKHr-e-risaalat
ilaahii bas itnii rahe mujh pe rahmat
vo ruu-e-munavvar ho aur merii 'hairat'
rahuu.n taa-qayaamat fidaa-e-mohammad
mirii jaan-e-pur-Gam fidaa-e-mohammad
mirii aa.nkh mahv-e-liqaa-e-mohammad
zamii.n aasmaa.n hai.n baraa-e-mohammad
jo ’arsh-e-mu'allaa hai jaa-e-mohammad
miraa dil bhii hai KHaak-paa-e-mohammad
’ajab shaan-e-qudrat ’ajab hai.n karishme
ko.ii un ko dekhe to kis tarh dekhe
hu.e jam' yakjaa the do nuur aise
nazar aa.e un me.n jo apne hii jalve
to KHaaliq ko bhaa.ii adaa-e-mohammad
dil-e-be-navaa hai jahaan-e-mohammad
hai mahbuub bhii kaun faKHr-e-risaalat
ilaahii bas itnii rahe mujh pe rahmat
vo ruu-e-munavvar ho aur merii 'hairat'
rahuu.n taa-qayaamat fidaa-e-mohammad
- Book : Naqsh-e-Hairat (Pg. 153)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.