kyaa bataa.uu.n ik miraa muunis judaa kyuu.n kar hu.aa
Interesting Fact
خمسہ بر غزل بہادر شاہ ظفرؔ
kyaa bataa.uu.n ik miraa muunis judaa kyuu.n kar hu.aa
ye nayaa gul kyaa khilaa ye maajraa kyuu.n kar hu.aa
puuchhte kyaa ho ki qismat kaa likhaa kyuu.n kar hu.aa
kyaa kahuu.n dil maa.il-e-zulf-e-dotaa kyuu.n kar hu.aa
thaa bhalaa-cha.ngaa giraftaar-e-balaa kyuu.n kar hu.aa
taaq-e-abruu par na ho sajdo.n kaa jab tak inhisaar
phir jabiin-e-shauq kaa baaqii rahaa kyaa e'tibaar
hai bajaa is par to istifsaar-e-dil kaa baar baar
jin ko mehraab-e-ibaadat ho KHam-e-abruu-e-yaar
un kaa kaa'be me.n kaho sajda adaa kyuu.n kar hu.aa
ik tahayyur kaa namuuna thaa tumhaare zer-e-paa
ik sabaq-aamoz naqsha thaa tumhaare zer-e-paa
tum ne kyaa dekhaa nahii.n kyaa thaa tumhaare zer-e-paa
diidan-e-hairaa.n hamaaraa thaa tumhaare zer-e-paa
ham ko hairat hai ki paidaa naqsh-e-paa kyuu.n kar hu.aa
chaal dhiimii aa.nkh niichii ra.ng faq chehra khi.nchaa
KHair bhii hai KHair yuu.n naqsha hai kyuu.n big.Daa hu.aa
haaye tere haath me.n hai.n purze purze se ye kyaa
naam-bar KHat de ke us nau-KHat ko tuu ne kyaa kahaa
kyaa KHataa tujh se hu.ii aur vo KHafaa kyuu.n kar hu.aa
vo ki jin ko KHud pe Garraa thaa vo misl-e-aa.iina
khul gayaa aaKHir ki dhoka thaa vo misl-e-aa.iina
lo suno ab muKHtasar kyaa thaa vo misl-e-aa.iina
jin ko yaktaa.ii kaa daa'va thaa vo misl-e-aa.iina
un ko hairat hai ki paidaa dosraa kyuu.n kar hu.aa
haa.n kahe jaa tuu ki thii.n be-vaj.h aa.nkhe.n ashk-baar
taa'ne denaa to hamesha se rahaa teraa shi’aar
lekin itnaa ham kahe dete hai.n aage iKHtiyaar
tere daa.nto.n ke tasavvur se na thaa gar aab-daar
jo bahaa aa.nsuu to durr-e-be-bahaa kyuu.n kar hu.aa
ik faqat ummiid-e-pursish ke sahaare 'ishq me.n
baarhaa mar kar jiye qismat ke maare 'ishq me.n
jaan par chalte rahe har vaqt aare 'ishq me.n
jo na honaa thaa hu.aa ham par tumhaare 'ishq me.n
tum ne itnaa bhii na puuchhaa kyaa hu.aa kyuu.n kar hu.aa
inqilaab is tarh kaise ho gayaa kis ko KHabar
kyaa haqiiqat me.n mohabbat ne kiyaa apnaa asar
us ko shaayad hal kare 'kaamil' ko.ii ahl-e-nazar
vo to hai naa aashnaa mash.huur 'aalam me.n 'zafar'
par KHudaa jaane vo mujh se aashnaa kyuu.n kar hu.aa

- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 263)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.