ye sab hai unkii sharaarat kisii ko kyaa maa'luum

bharii hai dil me.n 'adaavat kisii ko kyaa maa'luum
hu.ii hai kis se himaayat kisii ko kyaa maa'luum
kisii ke dil kii mohabbat kisii ko kyaa maa'luum
hamaare dil kii haqiiqat kisii ko kyaa maa'luum
ham kitnii baar kahe hai.n zaraa hisaab karo
tum apne ko bhii hasiino.n me.n intiKHaab karo
javaan ho chuke ab to zaraa hijaab karo
KHudaa ke vaaste tum yuu.n naa be-naqaab phiro
kisii kii kaisii hai niiyat kisii ko kyaa maa'luum
jo chaahe.n 'ishq me.n ham vo kitaab likkhe.nge
jigar kii Tiis yaa jaan-e-’azaab likkhe.nge
ab aage dekhiye kyaa-kyaa janaab likkhe.nge
yaqiin hai ki vo KHat kaa javaab likkhe.nge
magar navishta-e-qismat kisii ko kyaa maa'luum
vo kuf-saaz ke maz.hab ko ko.ii kyaa jaane
ta’ayyun-e-shakar-lab ko ko.ii kyaa jaane
bayaan-e-'meher' ke matlab ko ko.ii kyaa jaane
janaab-e-daaG ke mashrab ko ko.ii kyaa jaane
chhupe hue hai.n ye hazrat kisii ko kyaa maa'luum

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.