Font by Mehr Nastaliq Web

kisii kii yaad kaisii kyuu.n kisii ko yaad kartaa hai

Naza'n Sholapuri

MORE BYNaza'n Sholapuri

    kisii kii yaad kaisii kyuu.n kisii ko yaad kartaa hai

    ki naa-haq hasrato.n kaa KHuun-e-dil naashaad kartaa hai

    ye kyuu.n baiThe biThaa.e zindagii barbaad kartaa hai

    bayaa.n kyaa ai dil-e-muztar Gam-e-be-daad kartaa hai

    yahaa.n to ho.nT sii dete hai.n jo fariyaad kartaa hai

    yahaa.n ko.ii nahii.n rahtaa hai ahl-e-aashiyaa.n ban ke

    chaman me.n jhaa.nktii phirtii hai barq-e-aasmaa.n ban ke

    ye sab saamaa.n muhayyaa kar diye hai.n tuune uljhan ke

    jahaa.n sayyaad rahtaa hai yahaa.n tinke nasheman ke

    are tuu kaun sii bastii me.n ghar aabaad kartaa hai

    na.ii lai kaa ho phir aaGaaz ai naGmaat-e-kHvaabiida

    ba-sad andaaz lo a.ng.Daa.iyaa.n asraat-e-kHvaabiida

    rahoge taa-bke mad.hosh ehsaasaat-e-kHvaabiida

    vo jalva-baar hotaa hai uTho jazbaat-e-KHvaabiida

    KHudaa kaa shukr hai pyaase ko dariyaa yaad kartaa hai

    musaafir ne faraaham kar liyaa hai kuuch kaa saamaa.n

    naza.a kaa vaqt hai aa.nkho.n me.n aakar ruk ga.ii hai jaa.n

    fanaa kii god me.n so jaa.egaa jaagaa hu.aa mehmaa.n

    vo aate hai.n ki maut aatii hai baalii.n par merii 'naazaa.n'

    yahii ab dekhnaa hai kaun pahle yaad kartaa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now