vahaa.n piine pilaane ke hai.n afsaane hii afsaane

jidhar dekho udhar paa.oge paimaane hii paimaane
mile.nge mai-kashii me.n mast mastaane hii mastaane
nigaaho.n me.n samaa jaa.e.nge mai-KHaane hii mai-KHaane
nazar baGdaad me.n aa.e.nge diivaane hii diivaane
unhe.n masto.n kii mahfil me.n zaraa aane kii derii hai
ziyaa-e-husn-e-pur-anvaar chamkaane kii derii hai
unhe.n shaidaa.iyo.n ko jalvaa dikhlaane kii derii hai
naqaab unke ruKH-e-raushan se uTh jaane kii derii hai
fidaa hone ko haazir ho.nge diivaane hii diivaane
basii hai jab se mere dil me.n unke pyaar kii duniyaa
mohabbat me.n Dhalii hai taalib-e-diidaar kii duniyaa
meraa qalb-e-pareshaa.n hai mere sarkaar kii duniyaa
gulistaan-e-jahaa.n mere liye hai KHaar kii duniyaa
mujhe har-suu nazar aate hai.n viiraane hii viiraane
ba-juz hubb-e-shah-e-vaalaa vilaayat mil nahii.n saktii
karaamat paa nahii.n sakta nazar jab tak na ho unkii
vilaayat kaa kare daa’vaa ko.ii kis kii majaal aisii
qutub ho naqshbandii ho ki 'naazaa.n' ko.ii abdaalii
janaab-e-Gaus ke sab hai.n ye diivaane hii diivaane

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.