chaman pairaa-e-kun ne jab sajaayaa baaG-e-imkaa.n ko

kiyaa har gul se pahle buu-fazaa tere gul-e-jaa.n ko
usii ik phuul ne mahkaa diyaa 'aalam ke bustaa.n ko
yahii kahte sunaa har-suu chaman me.n fazl-e-yazdaa.n ko
tire faiz-e-qadam ne kar gulshan bayaabaa.n ko
banaayaa taKHta-e-KHuld-e-barii.n 'aalam ke maidaa.n ko
KHizaa.n kaa daKHl thaa baaG-e-jahaa.n me.n sar-ba-sar tujh bin
basaan-e-chob-e-aatish diida thaa har ik shajar tujh bin
na Gunche thaa na gul thaa aur na thaa barg-o-samar tujh bin
na paayaa thaa kahii.n baad-e-bahaarii kaa asar tujh bin
tirii faiz-e-qadam ne kar diyaa gulshan bayaabaa.n ko

tum aa.e gulshan-e-'aalam me.n kyaa ai sarv-e-mahbuubii
ki aa.e baaG-e-getii me.n saraasar KHuld kii KHuubii
kahaa.n gul me.n ye nik.hat thii kahaa.n sabza me.n usluubii
faqat tere sabab se suurat-e-gul ra.ng me.n Duubii
tire faiz-e-qadam ne kar diyaa gulshan bayaabaa.n ko

ghaTaa ik kufr kii chhaa.ii hu.ii thii baaG-e-'aalam par
'arab kyaa sat.ha-e-getii thaa KHaaristaan se abtar
qadam aa.e tumhaare jis gha.Dii us baaG me.n sarvar
havaa hokar u.Dii gulshan se ye kahtii hu.ii sar-sar

shahaa tujh bin thaa gulzaar-e-jahaa.n uj.Daa hu.aa bilkul
na ye Guncha kaa khilnaa thaa na ye KHush lahja-e-bulbul
hue taaza tire abr-e-karam se sosan-o-sumbul
ye kis KHuubii se shaaKH-e-sarv par hai naGma-e-sulsul

banaa kar aap ko saane'-e-qudrat kyuu.n na naazaa.n ho
bahaar-e-baaG ho ziinat vo gulzaar-e-imkaa.n ho
karam ye aap kaa mumtaaz par mahbuub-e-yazdaa.n ho
ki ye jaakar madiina me.n shah-e-dii.n yuu.n Gazal-KHvaa.n ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.