bha.Dak ke 'ishq kii saarii badan me.n aag lagii

vo sho'la-e-aah niklaa dahan me.n aag lagii
tire to aatish-e-ruKH se chaman me.n aag lagii
mirii to jaan-o-jigar aur man me.n aag lagii
ye ro-ro kahtii thii bulbul-e-chaman me.n aag lagii
kiyaa 'ilaaj atibbaa ne naa-rasaa.ii se
na aaKHirash hu.ii sehat kisii davaa.ii se
ye ra.ng jism kaa hai tirii aashnaa.ii se
jale hai laash mirii aatish-e-judaa.ii se
madad ko pahu.ncho sanam ab kafan me.n aag lagii
vo kyaa hinaa thii chaman se ma.ngaa.ii shiirii.n ne
aur us kii KHalq me.n shohrat u.Daa.ii shiirii.n ne
idhar to haatho.n me.n mehdii lagaa.ii shiirii.n ne
ye shab ko sair-e-'ajaa.ib dikhaa.ii shiirii.n ne
phir us taraf ko dil-e-kohkan me.n aag lagii
tumhaarii chup se merii chup zabaan hai bolo to
mere to dil me.n kuchh aur hii gumaan hai bolo to
labo.n ko dekh ke hairaan hai jahaa.n bolo to
mastii ye ho.nTo.n pe hai yaa dhu.aa.n hai bolo to
ye surKHii paan kii hai yaa dahan me.n aag lagii
agarche hote the gul-rukH hazaar Gussa me.n
par is tarah kii na dekhii bahaar Gussa me.n
ye vasf tujh me.n hai dekhaa nigaar Gussa me.n
hu.aa hai ra.ng teraa surKH yaar Gussa me.n
to bulbulo.n ne ye jaanaa chaman me.n aag lagii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.