majal kuchh bhi kar sakun main jo tu na taufiq ai KHuda de
majal kuchh bhi kar sakun main jo tu na taufiq ai KHuda de
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
Interesting Fact
ابیاتِ مناجات۔
majāl kuchh bhī kar sakūñ maiñ jo tū na taufīq ai ḳhudā de
tirī mashiyyat se sab ye ġhālib ye hech haiñ sab mire irāde
bahut dinoñ rah chukā nikammā bas ab mujhe kaam kā banā de
maiñ kab se huuñ mahv-e-kHvāb-e-ġhaflat bas ab jagā de bas ab jagā de
har dam karūñ maiñ ai mere baarī allāhu allāhu allāhu allāh
jab saañs luuñ maiñ ho jaa.e jaarī allāhu allāhu allāhu allāh
rah-e-talab meñ savār sab haiñ piyāda misl-e-ġhubār maiñ huuñ
tire gulistāñ meñ sab to gul haiñ bas ik agar huuñ to ḳhaar maiñ huuñ
mujhe bhī kuchh fikr-e-ākHirat ho bahut hī ġhaflat-shi.ār maiñ huuñ
rahā maiñ be-kār zindagī bhar bas ab to mashġhūl-e-kār maiñ huuñ
har dam karūñ maiñ ai mere baarī allāhu allāhu allāhu allāh
jab saañs luuñ maiñ ho jaa.e jaarī allāhu allāhu allāhu allāh
tujhe to ma'alūm hai ilāhī bahut hī ganda hai haal merā
gunah meñ ālūda ho rahā hai ravāñ-ravāñ bāl-bāl merā
ye āḳhirī din haiñ zindagī ke durust kar de ma.aal merā
tirī mohabbat meñ ab jiyūñ maiñ isī meñ ho intiqāl merā
har dam karūñ maiñ ai mere baarī allāhu allāhu allāhu allāh
jab saañs luuñ maiñ ho jaa.e jaarī allāhu allāhu allāhu allāh
karam se tere ba'īd kyā hai jo fazl mujh par bhī mere rab ho
tirī madad ho mirī ho koshish tirī kashish ho mirī talab ho
badī meñ guzrī hai 'umr saarī nasīb taufīq-e-nek ab ho
rahūñ maiñ mashġhūl-e-zikr-o-tā'at bas ab yahī shuġhl roz shab ho
har dam karūñ maiñ ai mere baarī allāhu allāhu allāhu allāh
jab saañs luuñ maiñ ho jaaye jaarī allāhu allāhu allāhu allāh
'ināyat-e-ḳhās ko ilāhī meñ tere qurbān-e-'ām kar de
is apne adnā ġhulām ko bhī nasīb ab qurb-e-tām kar de
maiñ haaye kab tak rahūñ adhūrā bas ab to pur merā jaam kar de
fanā kā vo darja ab 'atā ho jo kaam merā tamām kar de
har dam karūñ maiñ ai mere baarī allāhu allāhu allāhu allāh
jab saañs luuñ maiñ ho jaa.e jaarī allāhu allāhu allāhu allāh
majal kuchh bhi kar sakun main jo tu na taufiq ai KHuda de
teri mashiyyat se sab ye ghaalib ye hech hain sab mere irade
bahut dinon rah chuka nikamma bas ab mujhe kaam ka bana de
main kab se hun mahw-e-kHwab-e-ghaflat bas ab jaga de bas ab jaga de
har dam karun main ai mere bari allahu allahu allahu allah
jab sans lun main ho jae jari allahu allahu allahu allah
rah-e-talab mein sawar sab hain piyaada misl-e-ghubar main hun
tere gulistan mein sab to gul hain bas ek agar hun to KHar main hun
mujhe bhi kuchh fikr-e-akHirat ho bahut hi ghaflat-shiar main hun
raha main be-kar zindagi bhar bas ab to mashghul-e-kar main hun
har dam karun main ai mere bari allahu allahu allahu allah
jab sans lun main ho jae jari allahu allahu allahu allah
tujhe to ma'alum hai ilahi bahut hi ganda hai haal mera
gunah mein aaluda ho raha hai rawan-rawan baal-baal mera
ye aaKHiri din hain zindagi ke durust kar de maal mera
teri mohabbat mein ab jiyun main isi mein ho intiqal mera
har dam karun main ai mere bari allahu allahu allahu allah
jab sans lun main ho jae jari allahu allahu allahu allah
karam se tere ba'id kya hai jo fazl mujh par bhi mere rab ho
teri madad ho meri ho koshish teri kashish ho meri talab ho
badi mein guzri hai 'umr sari nasib taufiq-e-nek ab ho
rahun main mashghul-e-zikr-o-ta'at bas ab yahi shughl roz shab ho
har dam karun main ai mere bari allahu allahu allahu allah
jab sans lun main ho jaye jari allahu allahu allahu allah
'inayat-e-KHas ko ilahi mein tere qurban-e-'am kar de
is apne adna ghulam ko bhi nasib ab qurb-e-tam kar de
main haye kab tak rahun adhura bas ab to pur mera jam kar de
fana ka wo darja ab 'ata ho jo kaam mera tamam kar de
har dam karun main ai mere bari allahu allahu allahu allah
jab sans lun main ho jae jari allahu allahu allahu allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.