aksar auqat su-e-zan se hui
aksar auqāt sū-e-zan se huī
dānish-e-zinda bad-tar az murda
vāqi'iyyat hai batn-e-shā.ir meñ
vāqi.a hai gumān-e-nā-burda
jab dishoñ se liyā gayā khānā
kis tarah ho gayā vo pas-khurda
hai gunah merā imtisāl-e-amr
dost jis se hue haiñ āzurda
kahīñ biktī hai rif.at-e-rindī
nahīñ añgūr kā ye afshurda
na ho ehsās-e-kamtarī kā shahīd
ye har ik kā nahīñ hai dil gurda
hosh aur is qadr ġhalat-fahmī
josh aur is tarah se afsurda
aksar auqat su-e-zan se hui
danish-e-zinda bad-tar az murda
waqi'iyyat hai batn-e-shair mein
waqia hai guman-e-na-burda
jab dishon se liya gaya khana
kis tarah ho gaya wo pas-khurda
hai gunah mera imtisal-e-amr
dost jis se hue hain aazurda
kahin bikti hai rifat-e-rindi
nahin angur ka ye afshurda
na ho ehsas-e-kamtari ka shahid
ye har ek ka nahin hai dil gurda
hosh aur is qadr ghalat-fahmi
josh aur is tarah se afsurda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.