diwali
guloñ pe husn hai ġhunchoñ pe naujavānī hai
chaman meñ dekhiye jis samt shādmānī hai
nigāh shaad hai dil mutma.in nafas masrūr
lahak rahī haiñ havā.eñ chahak rahe haiñ tuyūr
ye ruup aur ye rañg aur nikhār kyā kahnā
bahār aur mukammal bahār kyā kahnā
jagah jagah jo munavvar haiñ zau-fishāñ qindīl
jahāñ husn kī har chiiz hai hasīn-o-jamīl
ye kaun aayā hai chaudah baras ke ba.ad yahāñ
jilau meñ kis ke chale aa rahe haiñ pī-o-javāñ
ye rām-chandr haiñ laxman haiñ aur siitā haiñ
ki jin pe ahl-e-vafā jān-o-dil se shaidā haiñ
unhīñ kī vaj.h se tanvīr paa.ī jaatī hai
unhīñ ke dam se divālī manā.ī jaatī hai
gulon pe husn hai ghunchon pe naujawani hai
chaman mein dekhiye jis samt shadmani hai
nigah shad hai dil mutmain nafas masrur
lahak rahi hain hawaen chahak rahe hain tuyur
ye rup aur ye rang aur nikhaar kya kahna
bahaar aur mukammal bahaar kya kahna
jagah jagah jo munawwar hain zau-fishan qindil
jahan husn ki har chiz hai hasin-o-jamil
ye kaun aaya hai chaudah baras ke baad yahan
jilau mein kis ke chale aa rahe hain pi-o-jawan
ye ram-chandr hain laxman hain aur sita hain
ki jin pe ahl-e-wafa jaan-o-dil se shaida hain
unhin ki wajh se tanwir pai jati hai
unhin ke dam se diwali manai jati hai
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 157)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.