Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ek rah-guzar par

Faiz Ahmad Faiz

ek rah-guzar par

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    vo jis diid meñ lākhoñ masarrateñ pinhāñ

    vo husn jis tamannā meñ jannateñ pinhāñ

    hazār fitne tah-e-pā-e-nāz ḳhāk-nashīñ

    har ik nigāh ḳhumār-e-shabāb se rañgīñ

    shabāb jis se taḳhayyul pe bijliyāñ barseñ

    vaqār jis rafāqat ko shoḳhiyāñ tarseñ

    adā-e-laġhzish-e-pā par qayāmateñ qurbāñ

    bayāz-ruḳh pe sahar sabāhateñ qurbāñ

    siyāh zulfoñ meñ vārafta nik.hatoñ hujūm

    tavīl rātoñ ḳhvābīda rāhatoñ hujūm

    vo aañkh jis ke banāv pa ḳhāliq itrā.e

    zabān-e-sher ko tārīf karte sharm aa.e

    vo hoñT faiz se jin ke bahār lāla-farosh

    bahisht o kausar o tasnīm o salsabīl ba-dosh

    gudāz jism qabā jis pe saj ke naaz kare

    darāz qad jise sarv-e-sahī namāz kare

    ġharaz vo husn jo mohtāj-e-vasf-o-nām nahīñ

    vo hasan jis tasavvur bashar kaam nahīñ

    kisī zamāne meñ is rah-guzar se guzrā thā

    ba-sad ġhurūr o tajammul idhar se guzrā thā

    aur ab ye rāh-guzar bhī hai dil-fareb o hasīñ

    hai is ḳhaak meñ kaif-e-sharāb-o-sher makīñ

    havā meñ shoḳhī-e-raftār adā.eñ haiñ

    fazā meñ narmī-e-guftār sadā.eñ haiñ

    ġharaz vo husn ab is rah juzv-e-manzar hai

    niyāz-e-ishq ko ik sajda-gah mayassar hai

    wo jis ki did mein lakhon masarraten pinhan

    wo husn jis ki tamanna mein jannaten pinhan

    hazar fitne tah-e-pa-e-naz KHak-nashin

    har ek nigah KHumar-e-shabab se rangin

    shabab jis se taKHayyul pe bijliyan barsen

    waqar jis ki rafaqat ko shoKHiyan tarsen

    ada-e-laghzish-e-pa par qayamaten qurban

    bayaz-ruKH pe sahar ki sabahaten qurban

    siyah zulfon mein warafta nikhaton ka hujum

    tawil raaton ki KHwabida rahaton ka hujum

    wo aankh jis ke banaw pa KHaliq itrae

    zaban-e-sher ko tarif karte sharm aae

    wo honT faiz se jin ke bahaar lala-farosh

    bahisht o kausar o tasnim o salsabil ba-dosh

    gudaz jism qaba jis pe saj ke naz kare

    daraaz qad jise sarw-e-sahi namaz kare

    gharaz wo husn jo mohtaj-e-wasf-o-nam nahin

    wo hasan jis ka tasawwur bashar ka kaam nahin

    kisi zamane mein is rah-guzar se guzra tha

    ba-sad ghurur o tajammul idhar se guzra tha

    aur ab ye rah-guzar bhi hai dil-fareb o hasin

    hai is ki KHak mein kaif-e-sharab-o-sher makin

    hawa mein shoKHi-e-raftar ki adaen hain

    faza mein narmi-e-guftar ki sadaen hain

    gharaz wo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai

    niyaz-e-ishq ko ek sajda-gah mayassar hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now