family planning
hind ko aur bhī ḳhush-hāl banāne ke liye
desh se ġhurbat-o-iflām miTāne ke liye
gaañv aur shahar kī tauqīr baḌhāne ke liye
apne ghar ke dar-o-dīvār sajāne ke liye
asr-e-hāzir kī hukūmat ne baḌe kaam kiye
kitnī tārīk fazāoñ meñ jalā.e haiñ diye
naunihāloñ ke liye sab kā yahī manshā hai
aaj bhī un kī mohabbat meñ yahī sochā hai
un ke haq meñ ye qadam aaj bahut achchhā hai
sāhib-e-fahm-o-firāsat kā yahī kahnā hai
jo bhī bachcha ho vo bhārat kā nigahbān bane
apnī dhartī kā vo raajā bane sultān bane
ye hai tajvīz amal is pe kareñge ham sab
apne dāman ko masarrat se bhareñge ham sab
raah āsāñ hai qadam is meñ dhareñge ham sab
buz-dilī hogī jo is rah se Dareñge ham sab
farz ab ye hai ki aulād kī kasrat se bacheñ
shād-o-masrūr hamāre bhī dil-o-jān raheñ
asr-e-hāzir kī fazāoñ kā taqāza hai yahī
apnī millat kī rivāyāt kā manshā hai yahī
sāmne ahal-e-basīrat ke bhī naqsha hai yahī
sab ke hamrāh aziiz apnā irāda hai yahī
merā bhārat bhī to ḳhush-hāl vatan kahlā.e
aise hālāt hoñ ābādī na baḌhne paa.e
hind ko aur bhi KHush-haal banane ke liye
desh se ghurbat-o-iflam miTane ke liye
ganw aur shahar ki tauqir baDhane ke liye
apne ghar ke dar-o-diwar sajaane ke liye
asr-e-hazir ki hukumat ne baDe kaam kiye
kitni tarik fazaon mein jalae hain diye
naunihaalon ke liye sab ka yahi mansha hai
aaj bhi un ki mohabbat mein yahi socha hai
un ke haq mein ye qadam aaj bahut achchha hai
sahib-e-fahm-o-firasat ka yahi kahna hai
jo bhi bachcha ho wo bhaarat ka nigahban bane
apni dharti ka wo raja bane sultan bane
ye hai tajwiz amal is pe karenge hum sab
apne daman ko masarrat se bharenge hum sab
rah aasan hai qadam is mein dharenge hum sab
buz-dili hogi jo is rah se Darenge hum sab
farz ab ye hai ki aulad ki kasrat se bachen
shad-o-masrur hamare bhi dil-o-jaan rahen
asr-e-hazir ki fazaon ka taqaza hai yahi
apni millat ki riwayat ka mansha hai yahi
samne ahal-e-basirat ke bhi naqsha hai yahi
sab ke hamrah aziz apna irada hai yahi
mera bhaarat bhi to KHush-haal watan kahlae
aise haalat hon aabaadi na baDhne pae
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 158)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.