gufta-e-u
har baat ik sahīfa thī ummī rasūl kī
alfāz the ḳhudā ke zabāñ thī rasūl kī
vahdāniyat ke phuul khile garm ret par
dī sañg-e-be-zabāñ ne gavāhī rasūl kī
bahbūdī-o-falāh ke jugnū nikal paḌe
tārīkiyoñ meñ jab khulī muTThī rasūl kī
parcham the naqsh-e-pā ke sitāroñ ke haath meñ
guzrī jo kahkashāñ se savārī rasūl kī
sīḌhī lagā.e arsh-e-ḳhudā par nabī kī yaad
chaltī hai saañs thaam ke añgulī rasūl kī
dekheñge mere sar kī taraf log hashr meñ
chamkegī taaj ban ke ġhulāmī rasūl kī
pahlā qadam azal hai abad āḳhir-e-safar
phailī hai kā.enāt pe hastī rasūl kī
khulte haiñ dar kuchh aur 'muzaffar' shu.ūr ke
kartā huuñ jab maiñ baat ḳhudā kī rasūl kī
har baat ek sahifa thi ummi rasul ki
alfaz the KHuda ke zaban thi rasul ki
wahdaniyat ke phul khile garm ret par
di sang-e-be-zaban ne gawahi rasul ki
bahbudi-o-falah ke jugnu nikal paDe
tarikiyon mein jab khuli muTThi rasul ki
parcham the naqsh-e-pa ke sitaron ke hath mein
guzri jo kahkashan se sawari rasul ki
siDhi lagae arsh-e-KHuda par nabi ki yaad
chalti hai sans tham ke anguli rasul ki
dekhenge mere sar ki taraf log hashr mein
chamkegi taj ban ke ghulami rasul ki
pahla qadam azal hai abad aaKHir-e-safar
phaili hai kaenat pe hasti rasul ki
khulte hain dar kuchh aur 'muzaffar' shuur ke
karta hun jab main baat KHuda ki rasul ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.