wo ret ke Tile chamkile iman ke raushan jalwe hain

wo ret ke Tile chamkile iman ke raushan jalwe hain
Hairat Shah Warsi
MORE BYHairat Shah Warsi
vo ret ke Tiile chamkīle īmān ke raushan jalve haiñ
vo Dher haiñ jins-e-īmāñ ke jo ūñche ūñche tode haiñ
in ḳhushk pahāḌoñ ke aage sab dariyā paanī bharte haiñ
pazhmurda diloñ kī khetī ko sarsabz vo patthar karte haiñ
vaañ lā-ilāha-illallāh har zarra zarra kahtā hai
ḳhurshed bhī sachchī ulfat se āġhosh meñ un ko letā hai
vo arz-e-muqaddas mulk-e-arab dar ain haqīqat jalva-e-rab
qurbān haiñ us pe sātoñ falak vo farsh-e-zamīñ par arsh-e-laqab
vaañ donoñ-jahāñ kī rahmat vaale āḳhirī jalve pinhāñ haiñ
is banjar vīrāñ ḳhitte par sab baaġh jahāñ ke qurbāñ haiñ
vo aañkh kahāñ vo qalb kahāñ 'hairat' kī zabāñ se kyā ho bayāñ
bas dekh lo jā ke kyā hai vahāñ ik zarra hai sau jalve meñ ayaañ
wo ret ke Tile chamkile iman ke raushan jalwe hain
wo Dher hain jins-e-iman ke jo unche unche tode hain
in KHushk pahaDon ke aage sab dariya pani bharte hain
pazhmurda dilon ki kheti ko sarsabz wo patthar karte hain
wan la-ilaha-illallah har zarra zarra kahta hai
KHurshed bhi sachchi ulfat se aaghosh mein un ko leta hai
wo arz-e-muqaddas mulk-e-arab dar ain haqiqat jalwa-e-rab
qurban hain us pe saton falak wo farsh-e-zamin par arsh-e-laqab
wan donon-jahan ki rahmat wale aaKHiri jalwe pinhan hain
is banjar viran KHitte par sab bagh jahan ke qurban hain
wo aankh kahan wo qalb kahan 'hairat' ki zaban se kya ho bayan
bas dekh lo ja ke kya hai wahan ek zarra hai sau jalwe mein ayan
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 126)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.