Sufinama

jogi ka baran

Hairat Shah Warsi

jogi ka baran

Hairat Shah Warsi

MORE BYHairat Shah Warsi

    jogī baran ham ne liyā yaar ḳhātir

    kyuuñ yaar ḳhātir hai dil-e-zār ḳhātir

    allāh re husn-e-ruḳh-e-jānāñ tere jalve

    jo dekh le ik baar vo dil kaise na taḌpe

    ik lamha bhī ārām se jo us na guzre

    jo kuchh vo kare thoḌā hai dīdār ḳhātir

    kyuuñ yaar ḳhātir dil-e-zār ḳhātir

    fursat ise kab hogī tirī yaad se jānāñ

    jis dil pe huā naqsh ḳhayāl-e-ruḳh-e-tābāñ

    kyā khāne hājat hai use ġham se jo mehmāñ

    haañ bhiik jo māñgegā to dīdār ḳhātir

    kyuuñ yaar ḳhātir hai dil-e-zār ḳhātir

    kyā hogī sadā us ki ai jaañ tire qurbāñ

    dīdār bhūkā huuñ na huuñ vasl ḳhvāhāñ

    utnī siine meñ rahe ātish-e-sozāñ

    ik aur jhalak husn-e-tarah-dār ḳhātir

    kyuuñ yaar ḳhātir hai dil-e-zār ḳhātir

    sadqe tere ye ātish-e-dil bujhne na paa.e

    phuk jaaye kaleja magar uf lab pe na aa.e

    ho jā.ūñ agar ḳhaak to vo ḳhaak bhī uḌ jaa.e

    bas itnī tavāzo.a hai dil-e-zār ḳhātir

    kyuuñ yaar ḳhātir hai dil-e-zār ḳhātir

    'hairat' hai agar koī hai muḳhtār-e-mohabbat

    kyuuñ kar na ḳharīde koī āzār-e-mohabbat

    rag rag se kare kaise na iz.hār-e-mohabbat

    dil vaqf rahe roye pur-anvār ḳhātir

    kyuuñ yaar ḳhātir hai dil-e-zār ḳhātir

    jogi ka baran hum ne liya yar ki KHatir

    kyun yar ki KHatir hai dil-e-zar ki KHatir

    allah re husn-e-ruKH-e-jaanan tere jalwe

    jo dekh le ek bar wo dil kaise na taDpe

    ek lamha bhi aaram se jo us ka na guzre

    jo kuchh wo kare thoDa hai didar ki KHatir

    kyun yar ki KHatir dil-e-zar ki KHatir

    fursat ise kab hogi teri yaad se jaanan

    jis dil pe hua naqsh KHayal-e-ruKH-e-taban

    kya khane ki hajat hai use gham se jo mehman

    han bhik jo mangega to didar ki KHatir

    kyun yar ki KHatir hai dil-e-zar ki KHatir

    kya hogi sada us ki ki ai jaan tere qurban

    didar ka bhuka hun na hun wasl ka KHwahan

    ha utni hi sine mein rahe aatish-e-sozan

    ek aur jhalak husn-e-tarah-dar ki KHatir

    kyun yar ki KHatir hai dil-e-zar ki KHatir

    sadqe tere ye aatish-e-dil bujhne na pae

    phuk jaye kaleja magar uf lab pe na aae

    ho jaun agar KHak to wo KHak bhi uD jae

    bas itni tawazoa hai dil-e-zar ki KHatir

    kyun yar ki KHatir hai dil-e-zar ki KHatir

    'hairat' hai agar koi hai muKHtar-e-mohabbat

    kyun kar na KHaride koi aazar-e-mohabbat

    rag rag se kare kaise na izhaar-e-mohabbat

    dil waqf rahe roye pur-anwar ki KHatir

    kyun yar ki KHatir hai dil-e-zar ki KHatir

    Source :
    • Book : Naqsh-e-Hairat Aks-e-Hairat (Pg. 53)
    • Author : Hairat Shah Warsi
    • Publication : Hazrat Ambar Shah Warsi Publications, Pakistan (2006)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now