Sufinama

koi ye mane koi wo mane

Hairat Shah Warsi

koi ye mane koi wo mane

Hairat Shah Warsi

MORE BYHairat Shah Warsi

    ye masjid mandir mai-ḳhāne koī ye maane koī vo maane

    sab jānāñ haiñ tere kāshāne koī ye maane koī vo maane

    ik hast tere qaa.il hai ankār pe koī maa.il hai

    asliyat lekin jaane koī ye maane koī vo maane

    ik ḳhalq meñ shāmil kartā hai ik sab se akelā kahtā hai

    haiñ donoñ tere mastāne koī ye maane koī vo maane

    kahīñ husn meñ jalva-farmā hai kahīñ ātish-e-ishq meñ jaltā hai

    kyā hai koī kyā jaane koī ye maane koī vo maane

    ek mast-e-alast hai dīvāna ik daanā biinā farzāna

    ik ḳham se bhare vo paimāne koī ye maane koī vo maane

    yuuñ naam ko bulbul gul par hai aur sham.a pe maa.il parvāna

    haiñ ek jalve ke dīvāne koī ye maane koī vo maane

    'hairat' meñ aalam saarā hai kyā dil meñ bhed chhupāyā hai

    ik baat hai sau haiñ afsāne koī ye maane koī vo maane

    ye masjid mandir mai-KHane koi ye mane koi wo mane

    sab jaanan hain tere kashane koi ye mane koi wo mane

    ek hast ka tere qail hai ankar pe koi mail hai

    asliyat lekin tu jaane koi ye mane koi wo mane

    ek KHalq mein shamil karta hai ek sab se akela kahta hai

    hain donon tere mastane koi ye mane koi wo mane

    kahin husn mein jalwa-farma hai kahin aatish-e-ishq mein jalta hai

    tu kya hai koi kya jaane koi ye mane koi wo mane

    ek mast-e-alast hai diwana ek dana bina farzana

    ek KHam se bhare wo paimane koi ye mane koi wo mane

    yun nam ko bulbul gul par hai aur shama pe mail parwana

    hain ek hi jalwe ke diwane koi ye mane koi wo mane

    'hairat' mein aalam sara hai kya dil mein bhed chhupaya hai

    ek baat hai sau hain afsane koi ye mane koi wo mane

    Source :
    • Book : Naqsh-e-Hairat Aks-e-Hairat (Pg. 89)
    • Author : Hairat Shah Warsi
    • Publication : Hazrat Ambar Shah Warsi, Publications, Pakistan (2006)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now