insan
rahīn-e-be-kasī ālūda-e-idbār dekhā hai
kabhī insān ko itnā zalīl-o-ḳhvār dekhā hai
pareshāñ-hāl dekhā hai kabhī be-kār dekhā hai
bahar saa.at kabhī vaqf-e-ġham-o-āzār dekhā hai
kabhī majbūr dekhā hai kabhī lāchār dekhā hai
vufūr-e-ġham meñ marne ke liye tayyār dekhā hai
rahīn-e-be-kasī alūdā-e-idbār dekhā hai
kabhī insān ko itnā zalīl-o-ḳhvār dekhā hai
junūn-e-ishq meñ dard-o-alam meñ josh-e-vahshat meñ
shab-e-furqat ke sannāToñ meñ yā shām-e-musībat meñ
mohabbat kī ghuTan rāhoñ meñ hairānī kī sūrat meñ
batāo to zarā pahle kisī daure-hukūmat meñ
pareshāñ-hāl dil-āzār dil-afgār dekhā hai
kabhī insān ko itnā zalīl-o-ḳhvār dekhā hai
kabhī pahle bhī itnī aam thī kyā chor bāzārī
huā kartī thī har mahfil meñ kyā pahle bhī ayyārī
kabhī pahle bhī lā-tā.dād the rishvat ke byopārī
sar-e-bāzār hotī thī kabhī pahle bhī bad-kārī
batāo tum ne duniyā ko kabhī bad-kār dekhā hai
kabhī insān ko itnā zalīl-o-ḳhvār dekhā hai
bahar aalam kisī ko shikvā-e-be-rozgārī hai
bahar lahza koī apne muqaddar hī kā shākī hai
ba-majbūrī kisī ne izzat-o-nāmūs bechī hai
kisī ne bhuuk kī shiddat meñ apnī jaan de dī hai
ḳhudā shāhid ki maiñ ne ye bhī hāl-e-zār dekhā hai
kabhī insān ko itnā zalīl-o-ḳhvār dekhā hai
koī ab ashk barsātā hai aur koī ġhazal-ḳhvāñ hai
koī hirmāñ badāmāñ hai koī rāhat badāmāñ hai
koī jiine kā ḳhvāhāñ hai koī jiine se nālāñ hai
koī har vaqt shādāñ hai koī har dam pareshāñ hai
zamāne ko kabhī itnā bhī nā-hanjār dekhā hai
kabhī insān ko itnā zalīl-o-ḳhvār dekhā hai
rahin-e-be-kasi aaluda-e-idbar dekha hai
kabhi insan ko itna zalil-o-KHwar dekha hai
pareshan-haal dekha hai kabhi be-kar dekha hai
bahar saat kabhi waqf-e-gham-o-azar dekha hai
kabhi majbur dekha hai kabhi lachaar dekha hai
wufur-e-gham mein marne ke liye tayyar dekha hai
rahin-e-be-kasi aluda-e-idbar dekha hai
kabhi insan ko itna zalil-o-KHwar dekha hai
junun-e-ishq mein dard-o-alam mein josh-e-wahshat mein
shab-e-furqat ke sannaTon mein ya sham-e-musibat mein
mohabbat ki ghuTan rahon mein hairani ki surat mein
batao to zara pahle kisi daure-hukumat mein
pareshan-haal dil-azar dil-afgar dekha hai
kabhi insan ko itna zalil-o-KHwar dekha hai
kabhi pahle bhi itni aam thi kya chor bazari
hua karti thi har mahfil mein kya pahle bhi ayyari
kabhi pahle bhi la-tadad the rishwat ke byopari
sar-e-bazar hoti thi kabhi pahle bhi bad-kari
batao tum ne duniya ko kabhi bad-kar dekha hai
kabhi insan ko itna zalil-o-KHwar dekha hai
bahar aalam kisi ko shikwa-e-be-rozgari hai
bahar lahza koi apne muqaddar hi ka shaki hai
ba-majburi kisi ne izzat-o-namus bechi hai
kisi ne bhuk ki shiddat mein apni jaan de di hai
KHuda shahid ki main ne ye bhi haal-e-zar dekha hai
kabhi insan ko itna zalil-o-KHwar dekha hai
koi ab ashk barsata hai aur koi ghazal-KHwan hai
koi hirman badaman hai koi rahat badaman hai
koi jine ka KHwahan hai koi jine se nalan hai
koi har waqt shadan hai koi har dam pareshan hai
zamane ko kabhi itna bhi na-hanjar dekha hai
kabhi insan ko itna zalil-o-KHwar dekha hai
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 129)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.