Sufinama

karwan-e-hayat

Wasif Ali Wasif

karwan-e-hayat

Wasif Ali Wasif

MORE BYWasif Ali Wasif

    kārvān-e-zindagī paiham ravāñ hai sub.h-o-shām

    is fanā ke des meñ hāsil huā kis ko qayām

    phuul jo khiltā hai vah ek din yahāñ murjhā.egā

    ye sarā-e-fānī hai jo aa.egā vo jā.egā

    apnī apnī manziloñ par haiñ sitāre gāmzan

    sub.h-dam ḳhāmosh ho jaatī hai saarī anjuman

    raat ke dāman se aa lagtā hai nūr-e-āftāb

    shaam pahnāne chalī aatī hai sūraj ko naqāb

    jagmagātī sub.h taqdīr kaalī shaam hai

    zindagī dhaḌkanoñ maut anjām hai

    likhne vaale ne likhā hastī qismat meñ zavāl

    haañ magar baaqī rahegī zāt-e-rabb-e-zul-jalāl

    mard kāmil hai vahī jo manzileñ tai kar gayā

    zindagī us hai jo marne se pahle mar gayā

    maut kyā hai haq se bande ko milāne sabab

    maut se Darte nahīñ jo jāgte haiñ nīm-shab

    piir paiġhambar valī darvesh mardān-e-ḳhudā

    maut vaadī se guzre haiñ ba-taslīm-o-razā

    zindagī aur maut hai apnī ḳhudā ke vāste

    mard-e-momin hai faqat sabr-o-razā ke vāste

    saañs aarī se kaT jaatā hai hastī shajar

    zindagī meñ maut se mumkin nahīñ hargiz mafar

    hashr barpā haiñ ka.ī ik jazba-e-ḳhāmosh meñ

    zindagī sotī hai āḳhir maut āġhosh meñ

    roz-e-avval se yahī hai zindagī silsila

    maut kyā hai zindagī āḳhirī ek marhala

    barq meñ tinke haiñ 'vāsif' ki hai tinkoñ meñ barq

    maut aur hastī meñ kyā samjhe koī insān farq

    karwan-e-zindagi paiham rawan hai subh-o-sham

    is fana ke des mein hasil hua kis ko qayam

    phul jo khilta hai wah ek din yahan murjhaega

    ye sara-e-fani hai jo aaega wo jaega

    apnī apnī manzilon par hain sitare gamzan

    subh-dam KHamosh ho jati hai sari anjuman

    raat ke daman se aa lagta hai nur-e-aftab

    sham pahnane chali aati hai suraj ko naqab

    jagmagati subh ki taqdir kali sham hai

    zindagi ki dhaDkanon ka maut hi anjam hai

    likhne wale ne likha hasti ki qismat mein zawal

    han magar baqi rahegi zat-e-rabb-e-zul-jalal

    mard kaamil hai wahi jo manzilen tai kar gaya

    zindagi us ki hai jo marne se pahle mar gaya

    maut kya hai haq se bande ko milane ka sabab

    maut se Darte nahin jo jagte hain nim-shab

    pir paighambar wali darwesh mardan-e-KHuda

    maut ki wadi se guzre hain ba-taslim-o-raza

    zindagi aur maut hai apnī KHuda ke waste

    mard-e-momin hai faqat sabr-o-raza ke waste

    sans ki aari se kaT jata hai hasti ka shajar

    zindagi mein maut se mumkin nahin hargiz mafar

    hashr barpa hain kai ek jazba-e-KHamosh mein

    zindagi soti hai aaKHir maut ki aaghosh mein

    roz-e-awwal se yahi hai zindagi ka silsila

    maut kya hai zindagi ka aaKHiri ek marhala

    barq mein tinke hain 'wasif' ya ki hai tinkon mein barq

    maut aur hasti mein kya samjhe koi insan farq

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now