Sufinama

KHwaja-ji

Wasif Ali Wasif

KHwaja-ji

Wasif Ali Wasif

MORE BYWasif Ali Wasif

    ḳhvāja milan pyaas hai dil meñ nainoñ meñ barsāteñ haiñ

    tanhā.ī ke chup āñgan meñ merī us se bāteñ haiñ

    ḳhvāja mire raaz nirālā ḳhvāja mile to rain ujālā

    daras banā jag ghor añdherā din apne bhī rāteñ haiñ

    jagat-guru aañkh taarā ḳhvāja-muīnuddīn hamārā

    dūlhā hai ajmer nagar ghar ghar meñ bārāteñ haiñ

    vahdat kasrat ain tarīqat har chehre meñ ek haqīqat

    qutub farīd nizām or sābir ek sifat zāteñ haiñ

    chisht-nagar meñ nis din mele ishq yahāñ mahfil meñ khele

    aañkh meñ aañsū lab pe tarāne ye chishtī sauġhāteñ haiñ

    rahnā hai har haal meñ raazī ḳhvāja sañg hai jīvan-bāzī

    ḳhvāja-jī jiit hamesha mujh pāpan māteñ haiñ

    aañkh se ojhal dil meñ baserā man-mohan hai ḳhvāja merā

    'vāsif' us priit nirālī us anokhī ghāteñ haiñ

    KHwaja milan ki pyas hai dil mein nainon mein barsaten hain

    tanhai ke chup aangan mein meri us se baaten hain

    KHwaja mere ka raaz nirala KHwaja mile to rain ujala

    daras bana jag ghor andhera din apne bhi raaten hain

    jagat-guru ki aankh ka tara KHwaja-muinuddin hamara

    dulha hai ajmer nagar ka ghar ghar mein baraaten hain

    wahdat kasrat ain tariqat har chehre mein ek haqiqat

    qutub farid nizam or sabir ek sifat ki zaten hain

    chisht-nagar mein nis din mele ishq yahan mahfil mein khele

    aankh mein aansu lab pe tarane ye chishti saughaten hain

    rahna hai har haal mein raazi KHwaja sang hai jiwan-bazi

    KHwaja-ji ki jit hamesha mujh papan ki maten hain

    aankh se ojhal dil mein basera man-mohan hai KHwaja mera

    'wasif' us ki prit nirali us ki anokhi ghaten hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now