Sufinama

madara-e-hawas

Maikash Akbarabadi

madara-e-hawas

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    kiye jo tirā chāhe merā kyā hai duniyā meñ

    mujhe jaanā hai duniyā se tujhe rahnā hai duniyā meñ

    haqīqat maiñ juuyā aur munkir haqīqat

    jo ḳhud dushman ho apnā us se kyā mauqa shikāyat

    jo pāband-e-havas ho raaz kyā samjhe mohabbat

    hai qaid-e-jism se me.aar baalā apnī ulfat

    tirī hadd-e-nazar shāhid-faroshī dukāñ tak hai

    mirī parvāz vus.at makāñ se lā-makāñ tak hai

    maiñ huuñ parde ke andar aur parde ko taktā hai

    hai lailā merā maqsad aur tujhe mahmil pe saktā hai

    jo shāhid haiñ zamāne ke mirī ismat ke shāhid haiñ

    jo masjūd-e-zamāna haiñ vo mere dar pe sājid haiñ

    sitāroñ tak nazar terī maiñ ḳhud ḳhurshīd-e-ḳhāvar huuñ

    agar tere barābar huuñ to kāfir ke barābar huuñ

    mirī bad-nāmiyoñ meñ haiñ mirī āzādiyāñ pinhāñ

    mirī nākāmiyoñ meñ haiñ mirī ḳhuddāriyāñ pinhāñ

    tirī me.rāj-e-bad-goī mirī tamkīn-e-ḳhāmoshī

    hai terā iftirā sheva mirī aadat ḳhatā-poshī

    ilaaj apnī burā.ī samajhtā hai bad-goī

    bhalā kab huā gar ho gayā sābit burā koī

    tere fiqre hue bād-e-shutar bāzār-e-tiflāñ meñ

    tajallī ban ke utrī nazm-e-'maikash' qalb-e-pākāñ meñ

    kiye ja jo tera ji chahe mera kya hai duniya mein

    mujhe jaana hai duniya se tujhe rahna hai duniya mein

    haqiqat ka main juya aur tu munkir haqiqat ka

    jo KHud dushman ho apna us se kya mauqa shikayat ka

    jo paband-e-hawas ho raaz kya samjhe mohabbat ka

    hai qaid-e-jism se mear baala apnī ulfat ka

    teri hadd-e-nazar shahid-faroshi ki dukan tak hai

    meri parwaz ki wusat makan se la-makan tak hai

    main hun parde ke andar aur tu parde ko takta hai

    hai laila mera maqsad aur tujhe mahmil pe sakta hai

    jo shahid hain zamane ke meri ismat ke shahid hain

    jo masjud-e-zamana hain wo mere dar pe sajid hain

    sitaron tak nazar teri main KHud KHurshid-e-KHawar hun

    agar tere barabar hun to kafir ke barabar hun

    meri bad-namiyon mein hain meri aazadiyan pinhan

    meri nakaamiyon mein hain meri KHuddariyan pinhan

    teri meraj-e-bad-goi meri tamkin-e-KHamoshi

    hai tera iftira shewa meri aadat KHata-poshi

    ilaj apnī burai ka samajhta hai tu bad-goi

    bhala tu kab hua gar ho gaya sabit bura koi

    tere fiqre hue baad-e-shutar bazar-e-tiflan mein

    tajalli ban ke utri nazm-e-'maikash' qalb-e-pakan mein

    Source :
    • Book : Maikada (Pg. 12)
    • Author : Maikash Akbarabadi
    • Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now