Sufinama

husn-e-amal

Maikash Akbarabadi

husn-e-amal

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    hai jā-e-amal duniyā aur manzar-e-ibrat bhī

    kar aap bhī kuchh aur de auroñ ko nasīhat bhī

    duniyā mohabbat hai asl burā.ī

    āġhāz meñ zillat hai anjām meñ hasrat bhī

    jazbāt sab qaideñ ehsās ke dam se haiñ

    ārām ghaḌiyāñ bhī ayyām-e-musībat bhī

    vaaq.e meñ nahīñ kuchh bhī sab hadd-e-nazar tak hai

    ābādī raunaq bhī vīrāne vahshat bhī

    afsāna hai aur vo bhī ma.alūm nahīñ kab tak

    jamshed ishrat bhī qārūn daulat bhī

    anjām ko dekho to zillat numā.ish thī

    fir.aun izzat bhī namrūd satvat bhī

    be-rañg se ḳhāke the tasvīr-e-javānī ke

    vo ishq-e-zuleḳhā bhī yūsuf sabāhat bhī

    be-kār haiñ sab bāteñ juz husn-e-amal ġhāfil

    ye jism zīnat hai aur ruuh rāhat bhī

    hai ja-e-amal duniya aur manzar-e-ibrat bhi

    kar aap bhi kuchh aur de auron ko nasihat bhi

    duniya ki mohabbat hi hai asl burai ki

    aaghaz mein zillat hai anjam mein hasrat bhi

    jazbaat ki sab qaiden ehsas ke dam se hain

    aaram ki ghaDiyan bhi ayyam-e-musibat bhi

    waqe mein nahin kuchh bhi sab hadd-e-nazar tak hai

    aabaadi ki raunaq bhi virane ki wahshat bhi

    afsana hai aur wo bhi malum nahin kab tak

    jamshed ki ishrat bhi qarun ki daulat bhi

    anjam ko dekho to zillat ki numaish thi

    firaun ki izzat bhi namrud ki satwat bhi

    be-rang se KHake the taswir-e-jawani ke

    wo ishq-e-zuleKHa bhi yusuf ki sabahat bhi

    be-kar hain sab baaten juz husn-e-amal ghafil

    ye jism ki zinat hai aur ruh ki rahat bhi

    Source :
    • Book : Maikada (Pg. 11)
    • Author : Maikash Akbarabadi
    • Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now