azal se go hasinon ki mohabbat meri fitrat thi
azal se go hasīnoñ kī mohabbat merī fitrat thī
magar fitrat abhī nā-vāqif-e-soz-e-mohabbat thī
dil-e-ma.asūm ko mere har ik kāfir se ulfat thī
na thā taklīf kā ehsās kyā achchhī tabī.at thī
mirī shirkat mo.aqqar thī har ek ma.asūm sohbat meñ
musallam merī be-lausī hasīnoñ kī jamā.at meñ
mirī ismat kī qasmeñ mo'atabar ahl-e-mohabbat meñ
mirī pur-soz aaheñ muntazir bāb-e-ijābat meñ
samajhtā thā na kuchh ma.anī maiñ duzdīda-nigāhoñ se
gumāñ kartā na thā kuchh bhī kisī kī sard-āhoñ se
na thā vāqif lagāvaT kī maiñ in pechīda rāhoñ se
na uljhā thā kisī kāfir kī mizhgānī sipāhiñ se
na dekhā thā kisī kā hañs ke zulfeñ khol kar aanā
na dekhā thā kisī kā aah bhar kar jaan se jaanā
na thā ma.alūm kyā hotā hai dil le kar mukar jaanā
na thā ma.alūm ho jaatā hai kaise koī dīvānā
na thā ma.alūm dil jaatā hai ik chashm-e-ināyat meñ
na thā ma.alūm ulfat kī sazā miltī hai furqat meñ
na thā ma.alūm dil ko aib lag jaatā hai ulfat meñ
nazar bad-nām ho jaatī hai pākīza mohabbat meñ
azal se go hasinon ki mohabbat meri fitrat thi
magar fitrat abhi na-waqif-e-soz-e-mohabbat thi
dil-e-masum ko mere har ek kafir se ulfat thi
na tha taklif ka ehsas kya achchhi tabiat thi
meri shirkat moaqqar thi har ek masum sohbat mein
musallam meri be-lausi hasinon ki jamaat mein
meri ismat ki qasmen mo'atabar ahl-e-mohabbat mein
meri pur-soz aahen muntazir bab-e-ijabat mein
samajhta tha na kuchh mani main duzdida-nigahon se
guman karta na tha kuchh bhi kisi ki sard-ahon se
na tha waqif lagawaT ki main in pechida rahon se
na uljha tha kisi kafir ki mizhgani sipahin se
na dekha tha kisi ka hans ke zulfen khol kar aana
na dekha tha kisi ka aah bhar kar jaan se jaana
na tha malum kya hota hai dil le kar mukar jaana
na tha malum ho jata hai kaise koi diwana
na tha malum dil jata hai ek chashm-e-inayat mein
na tha malum ulfat ki saza milti hai furqat mein
na tha malum dil ko aib lag jata hai ulfat mein
nazar bad-nam ho jati hai pakiza mohabbat mein
- Book : Maikada (Pg. 41)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.