mera rasul
kul aalam jis kī kuTiyā jis kī parchhā.īñ saverā
vo hai rasūl merā
dekh na paa.e itne pas-manzar meñ nigāh-e-suġhrā
aadam kī taḳhlīq hai jis ke naam kā pahlā tuġhra
azal meñ jis kī buniyādeñ haiñ adab meñ jis kā Derā
vo hai rasūl merā
jis kī kamlī ke saa.e meñ aañkh sahr ne kholī
jis ke lahje meñ ham tak pahuñchī qudrat kī bolī
jis ke chāroñ-samt ḳhudā ne apnā nuur bikherā
vo hai rasūl merā
jis kī sachchā.ī ne bātil ke shah-zor pachhāḌe
jis ne tez havāoñ ke siine par ḳheme gaaḌe
jis ke dariyā kī lahroñ ne kohsāroñ ko gherā
vo hai rasūl merā
aap chatā.ī par soyā bāñTī ḳhairāt meñ shāhī
chhū kar jis ke paañv ko qaa.ed kahlā.ī gumrāhī
jis kī chaukhaT par insāñ kī azmat kare baserā
vo hai rasūl merā
chāTā jis ke talvoñ ko jibrīl ke ruḳhsāroñ ne
āñkheñ bichhā.eñ jis ke istiqbāl ko sayyāroñ ne
pal-do-pal meñ lagā ke aayā jo sidrah kā pherā
vo hai rasūl merā
lākhoñ salām us par bhejūñ lākhoñ durūd bhejūñ
ruuh ko aksar us ke rauze par be-vajūd bhejūñ
jis kī rahmat kā ehsān 'muzaffar' par baheterā
vo hai rasūl merā
kul aalam jis ki kuTiya jis ki parchhain sawera
wo hai rasul mera
dekh na pae itne pas-manzar mein nigah-e-sughra
aadam ki taKHliq hai jis ke nam ka pahla tughra
azal mein jis ki buniyaaden hain adab mein jis ka Dera
wo hai rasul mera
jis ki kamli ke sae mein aankh sahr ne kholi
jis ke lahje mein hum tak pahunchi qudrat ki boli
jis ke chaaron-samt KHuda ne apna nur bikhera
wo hai rasul mera
jis ki sachchai ne baatil ke shah-zor pachhaDe
jis ne tez hawaon ke sine par KHeme gaDe
jis ke dariya ki lahron ne kohsaron ko ghera
wo hai rasul mera
aap chatai par soya banTi KHairaat mein shahi
chhu kar jis ke panw ko qaed kahlai gumrahi
jis ki chaukhaT par insan ki azmat kare basera
wo hai rasul mera
chaTa jis ke talwon ko jibril ke ruKHsaron ne
aankhen bichhaen jis ke istiqbaal ko sayyaron ne
pal-do-pal mein laga ke aaya jo sidrah ka phera
wo hai rasul mera
lakhon salam us par bhejun lakhon durud bhejun
ruh ko aksar us ke rauze par be-wajud bhejun
jis ki rahmat ka ehsan 'muzaffar' par bahetera
wo hai rasul mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.