meri shan wo hai ki main ja-ba-ja hun
merī shaan vo hai ki maiñ jā-ba-jā huuñ
jahāñ DhūñDiye har jagah barmalā huuñ
jahān-e-tajassus meñ nūr-e-ḳhudā huuñ
ḳhudā.ī hai merī maiñ uqda-kushā huuñ
har ik ruup meñ huuñ maiñ an-rūpiyā huuñ
merā ruup goyā hai ik nūr-e-vahdat
kahāñ nuur meñ sāya-e-ādamiyat
samajh kaun saktā hai merī mashiyyat
jo mere haiñ maiñ un kā mushkil-kushā huuñ
har ik ruup meñ huuñ maiñ an-rūpiyā huuñ
maiñ sattār huuñ aur ġhaffār huuñ maiñ
maiñ jabbār huuñ aur qahhār huuñ maiñ
samajh meñ na aa.e vo asrār huuñ maiñ
jo samjhe mujhe us ke dil kī sadā huuñ
har ik ruup meñ huuñ maiñ an-rūpiyā huuñ
mere nuur se donoñ aalam haiñ raushan
sitāroñ meñ raunaq-falak hai muzayyan
chamakne lagā mujh se duniyā kā gulshan
maiñ har shai meñ huuñ aur jalva-numā huuñ
har ik ruup meñ huuñ maiñ an-rūpiyā huuñ
aqīdat se jis ne mujhe jab pukārā
diyā maiñ ne har Dūbte ko sahārā
merī rahmatoñ kā vo bahtā hai dhārā
ki mañjdhār meñ sab kā maiñ nā-ḳhudā huuñ
har ik ruup meñ huuñ maiñ an-rūpiyā huuñ
meri shan wo hai ki main ja-ba-ja hun
jahan DhunDiye har jagah barmala hun
jahan-e-tajassus mein nur-e-KHuda hun
KHudai hai meri main uqda-kusha hun
har ek rup mein hun main an-rupiya hun
mera rup goya hai ek nur-e-wahdat
kahan nur mein saya-e-adamiyat
samajh kaun sakta hai meri mashiyyat
jo mere hain main un ka mushkil-kusha hun
har ek rup mein hun main an-rupiya hun
main sattar hun aur ghaffar hun main
main jabbar hun aur qahhaar hun main
samajh mein na aae wo asrar hun main
jo samjhe mujhe us ke dil ki sada hun
har ek rup mein hun main an-rupiya hun
mere nur se donon aalam hain raushan
sitaron mein raunaq-falak hai muzayyan
chamakne laga mujh se duniya ka gulshan
main har shai mein hun aur jalwa-numa hun
har ek rup mein hun main an-rupiya hun
aqidat se jis ne mujhe jab pukara
diya main ne har Dubte ko sahaara
meri rahmaton ka wo bahta hai dhaara
ki manjdhaar mein sab ka main na-KHuda hun
har ek rup mein hun main an-rupiya hun
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 201)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.