Sufinama

milad-un-nabi

Wasif Ali Wasif

milad-un-nabi

Wasif Ali Wasif

MORE BYWasif Ali Wasif

    mubārak ahl-e-īmāñ ko ki ḳhatm-ul-mursalīn aa.e

    mubārak sad-mubārak bānī-e-dīn-e-mubīñ aa.e

    mubārak ho ki duniyā meñ sah-e-duniyā-o-dīñ aa.e

    charāġh-e-tūr aa.e zīnat-e-arsh-e-barīñ aa.e

    ki husn-e-zāt dene ke liye zauq-e-yaqīñ aa.e

    mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e

    ye roz-e-kun se bhī pahle zamāne kahānī hai

    do-ālam meñ mohammad na thā saanī na saanī hai

    fanā zer-e-qadam un baqā par hukmarānī hai

    mohammad ke ġhulāmoñ tak hastī jāvedānī hai

    sarāpā ishq-e-haq ban kar hasīnoñ ke hasīñ aa.e

    mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e

    vahī hā-mīm taahā haiñ mudassir haiñ muzammil haiñ

    vo karramnā banī-ādam tafsīr-e-mukammal haiñ

    imām-ul-ambiyā haiñ nuur haiñ insān-e-kāmil haiñ

    ḳhudā ḳhud mīr-e-majlis hai mohammad sham-e-mahfil haiñ

    diloñ ko nuur dene ke liye nūr-e-mubīñ aa.e

    mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e

    dam-e-īsā yad-e-baizā se aage hai maqām un

    kalāmullāh tafsīr hai goyā kalām un

    hayāt-e-jāvidāñ detā hai duniyā ko payām un

    ḳhudā jāntā hai kis qadar pyārā hai naam un

    gunah-gāro na ghabrāo shafī.ul-muznabīñ aa.e

    mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e

    dar-o-dīvār taiba ke ḳhushī se jagmagāte haiñ

    fazā.eñ raqs kartī haiñ parinde chahchahāte haiñ

    malā.ek hūr-o-ġhilmāñ raah meñ āñkheñ bichhāte haiñ

    ki sultān-e-zamāna dahr meñ tashrīf laate haiñ

    jabīn-e-āsmāñ jhuktī huī suu.ye zamīñ aa.e

    mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e

    do-ālam ke diloñ ko nuur detā hai jamāl un

    ye jaañ un ye dil un sifat un kamāl un

    ye din un charāġh un ke firāq un visāl un

    ġhulām-e-kam-tarīñ 'vāsif'-alī ke hai ḳhayāl un

    mohammad ġhulāmī meñ qulūb-ul-āshiqīñ aa.e

    mubārak ho jahāñ ko rahmat-ul-lil.ālamīñ aa.e

    mubarak ahl-e-iman ko ki KHatm-ul-mursalin aae

    mubarak sad-mubarak bani-e-din-e-mubin aae

    mubarak ho ki duniya mein sah-e-duniya-o-din aae

    charagh-e-tur aae zinat-e-arsh-e-barin aae

    ki husn-e-zat dene ke liye zauq-e-yaqin aae

    mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae

    ye roz-e-kun se bhi pahle zamane ki kahani hai

    do-alam mein mohammad ka na tha sani na sani hai

    fana zer-e-qadam un ki baqa par hukmarani hai

    mohammad ke ghulamon tak ki hasti jawedani hai

    sarapa ishq-e-haq ban kar hasinon ke hasin aae

    mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae

    wahi ha-mim taha hain mudassir hain muzammil hain

    wo karramna bani-adam ki tafsir-e-mukammal hain

    imam-ul-ambiya hain nur hain insan-e-kaamil hain

    KHuda KHud mir-e-majlis hai mohammad sham-e-mahfil hain

    dilon ko nur dene ke liye nur-e-mubin aae

    mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae

    dam-e-isa yad-e-baiza se aage hai maqam un ka

    kalamullah ki tafsir hai goya kalam un ka

    hayat-e-jawidan deta hai duniya ko payam un ka

    KHuda hi jaanta hai kis qadar pyara hai nam un ka

    gunah-garo na ghabrao shafiul-muznabin aae

    mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae

    dar-o-diwar taiba ke KHushi se jagmagate hain

    fazaen raqs karti hain parinde chahchahate hain

    malaek hur-o-ghilman rah mein aankhen bichhate hain

    ki sultan-e-zamana dahr mein tashrif late hain

    jabin-e-asman jhukti hui suye zamin aae

    mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae

    do-alam ke dilon ko nur deta hai jamal un ka

    ye jaan un ki ye dil un ka sifat un ki kamal un ka

    ye din un ka charagh un ke firaq un ka visal un ka

    ghulam-e-kam-tarin 'wasif'-ali ke hai KHayal un ka

    mohammad ki ghulami mein qulub-ul-ashiqin aae

    mubarak ho jahan ko rahmat-ul-lilalamin aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now