Font by Mehr Nastaliq Web

nauha-e-pur-gham

Akbar Warsi Meerthi

nauha-e-pur-gham

Akbar Warsi Meerthi

arz kartī thī ro ro ke suġhrā mujh ko lete chalo saath baabā

chhoḌe jaate ho yaañ kis pe tanhā mujh ko lete chalo saath baabā

haiñ madīna sunsān galiyāñ yaañ birādar na ḳhvāhar na ammāñ

kaun be-kas ko degā dilāsā mujh ko lete chalo saath baabā

tum se koī savārī na lūñgī karbalā tak maiñ paidal chalūñgī

ab judā.ī nahīñ hai gavārā mujh ko lete chalo saath baabā

apne mahmil Thahrā.iyega aaoge kab ye farmā.iyegā

be-tumhāre rahūñgī na zinda mujh ko lete chalo saath baabā

kaun faryād-zārī sunegā kaun be-kas ko taskīn degā

mujh ko lete chalo saath baabā mujh ko lete chalo saath baabā

rāste meñ karāhūñ to kahnā kuchh davā tum se chāhūñ to kahnā

ab nahīñ huuñ maiñ bīmār hāshā mujh ko lete chalo saath baabā

ghar meñ kis tarh tanhā rahūñgī maiñ to suġhrā ko jaane na dūñgī

to is ko chhoḌo yahīñ mujh ko lete chalo saath baabā

kyā likhūñ ġham-e-'akbar' fasāna ho gayā qāfila sab ravāna

rah ga.ī kahtī haihāt suġhrā mujh ko lete chalo saath baabā

arz karti thi ro ro ke sughra mujh ko lete chalo sath baba

chhoDe jate ho yan kis pe tanha mujh ko lete chalo sath baba

hain madina ki sunsan galiyan yan biradar na KHwahar na amman

kaun be-kas ko dega dilasa mujh ko lete chalo sath baba

tum se koi sawari na lungi karbala tak main paidal chalungi

ab judai nahin hai gawara mujh ko lete chalo sath baba

apne mahmil tu Thahraiyega aaoge kab ye farmaiyega

be-tumhaare rahungi na zinda mujh ko lete chalo sath baba

kaun faryaad-zari sunega kaun be-kas ko taskin dega

mujh ko lete chalo sath baba mujh ko lete chalo sath baba

raste mein karahun to kahna kuchh dawa tum se chahun to kahna

ab nahin hun main bimar hasha mujh ko lete chalo sath baba

ghar mein kis tarh tanha rahungi main to sughra ko jaane na dungi

ya to is ko chhoDo yahin ya mujh ko lete chalo sath baba

kya likhun gham-e-'akbar' fasana ho gaya qafila sab rawana

rah gai kahti haihat sughra mujh ko lete chalo sath baba

Source :
  • Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 102)
  • Author : Mohammad Akbar Warsi
  • Publication : Matba Majidi, Meerut
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now