Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

narangi

ab to har baaġh meñ aatī hai chalī nārañgī

hai har ek peḌ pe misrī Dalī nārañgī

husn vāloñ bhī siine phalī nārañgī

dekh kar us vo añgiyā palī nārañgī

ham ne to aaj ye jaanā ki chalī nārañgī

jab nazar aa.ī mujhe shoḳh ke siine bahār

khaTTā-mīThā lagā hone merā dil yak-bār

paḌā haath jo siine taraf kho ke qarār

is qadar thiiñ vo kucheñ shoḳh sitamgār tayār

jis qadar seb ho jaise phalī nārañgī

jin dinoñ shoḳh ke aalam nayā mausam thā

jab mil lete to dil kyā sadā phal paatā

ab jo vah vaqt gayā to hai yahī haif aatā

aah is haath se us husn Daalī ko jhukā

ham ne afsos jabhī toḌ na nārañgī

ab to har bagh mein aati hai chali narangi

hai har ek peD pe misri ki Dali narangi

husn walon ki bhi sine ki phali narangi

dekh kar us ki wo angiya ki pali narangi

hum ne to aaj ye jaana ki chali narangi

jab nazar aai mujhe shoKH ke sine ki bahaar

khaTTa-miTha sa laga hone mera dil yak-bar

ja paDa hath jo sine ki taraf kho ke qarar

is qadar thin wo kuchen shoKH sitamgar ki tayar

jis qadar seb ho ya jaise phali narangi

jin dinon shoKH ke aalam ka naya mausam tha

jab hi mil lete to dil kya hi sada phal pata

ab jo wah waqt gaya to hai yahi haif aata

aah is hath se us husn ki Dali ko jhuka

hum ne afsos jabhi toD na li narangi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now